Thursday, November 12, 2015

Meeran Daataar.

Hazrat Sayyed Ali Meeran Daataar rahmatullāhi alaihi :
Laqab :
‾‾‾‾‾‾‾‾
Meeran Daataar.
****************
Aap ki wilaadat 29 Ramazaan 879 Hijri (4 August 1426 A.D.) ko Kaanpur, Ahmedabad (Gujarat) me hui.
Aap ke waalid ka naam Sayyed Dost Mohammad bin Sayyed Ilm-ud-deen aur waalida ka naam Aa'isha bibi urfe raasti maa hai.
Aap Husaini saadaat hain.
Aap ke daada Bukhara (Uzbekistan) se Lukhnow aaye the. Aur phir Sultaan Ahmad Shaah ke saahabzaade Sultaan Mahmood Begada ke zamaane me Ahmedabad (Gujarat) tashreef laaye.
******************
Aap ki umr jab 10 mahine aur 16 din kit hi tab aap ki waalida ka inteqaal ho gaya.
Ek baar jab aap bhuk ki wajah se ro rahe the the to Daulat bibi urfe Daama amma ne ALLĀH ta’ala se dua ki ke agar mujhe doodh aa raha hota to main is bache ko pilaati. Foran ALLĀH ke fazl se un ko doodh aana shuru ho gaya aur unho ne Sayyed Ali ko doodh pilaaya. Baad me aap ke waalid Sayyed Dost Mohammad ne Daulat bibi urfe Daama amma se nikaah kiya.
Aap ke waalid ke inteqaal ke baad aap ke Daada jaan, Daadi amma aur Daulat bibi urfe Daama amma ne aap ki parwarish ki.
Aap ne Qur’an aur Hadees ki taalim haasil ki.
Aap bachpan se hi paband e shariat the aur hamesha sunnat e Rasool par amal karte the.
******************
Mandavgadh (Madhya Pradesh) ka Raaja Mehandi Raj bahot zaalim tha. Us ne apne darbaar me taantriko aur jaadoogaro ko jama kiye the aur apne mahel me ek 15 feet ooncha but banaakar rakha tha. Aur wo be-gunaah logo ko ek qile me qaid karke rakhta tha aur roz ek aadami ka qatl karke us ke khoon se tilak karta tha. Log us ke zulm se tang aa gaye the.
Ek roz ek shakhs kisi tarh qile me se bhaagkar Delhi Sultaan Lodi ke darbaar me pahuncha aur ye sab baaten bataai. Sultaan Lodi ne use tasalli di aur foran ek qaasid ko Gujarat ke Sultaan Mahmood Begada ke paas bheja.
Sultaan Mahmood Begada ko jab ye khabar mili unho ne foran apne sipaah saalaaro aur afsaro ko bulaakar Mandavgadh par hamle ki tayyaari ki aur ek bahot bade lashkar ke saath Mandavgadh par hamla kiya. Kai saal tak jang karne ka baad bhi un ko Mandavgadh par fateh na mili tab unho ne baargah e ilāhi me Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ke waseele se dua ki. Sultaan khwaab me ye bashaarat hui ke ‘Sayyed Ilm-ud-deen ke pote Sayyed Ali ki madad se hi Mandavgadh par fateh mil sakti hai aur wo hi Mehandi Raj ko haraaya sakta hai kyun ki hum ne Sayyed Ali ko Hazrat Ali al-Murtaza ki shuja’at ata farmai hai.’
Sultaan Mahmood Begada ne Sayyed Ilm-ud-deen ko bulaakar ye sab baaten bataai. Unho ne foran Sayyed Ali ko aane ke liye khat likha. Magar Sayyed Ali ko wok hat na mil saka. Is tarah kai baar khat likhe. Aakhir me jab Sayyed Ali ko ek khat mila to us ke agle din hi aap ki shaadi hui thi. Aap ne foran Sultaan Mehmood Begada ki madad ke liye jaane ki tayyaari ki. Apne pariwaar walo ko samjhaaya ke ‘Hum Husaini saadaat hain. Aur mazloomo ko madad karna hamara farz hai.’
Safar ke dauraan aap Lilapur me rooke aur waha miswaak aur wuzu karke namaz ada ki. Aap ko ye jagah pasand aai aur dil me ye khwaahish ki ke agar main jang me shaheed ho jaaun to mujhe is maqaam par dafn kiya jaaye.
Jab aap Mandavgadh ke qareeb pahunchkar wuquoof kiya to us raat ek tez toofaan aaya. Us me tamaam khaime nikal gaye siwa e aap ke khaime ke. Aap apne khaime me tilaawat e Qur’an kar rahe the. Sultaan Mahmood Begada ne jab ye dekha to use yaqeen ho gaya ke in sha Allāh ab is wali ke sadqe me hum zaroor Mehandi Raj ko hara sakenge.
Phir aap 125 ghud sawaar aur dusre sipaahiyo ke saath Mandavgadh par hamla karne ke liye rawaana hue. Raaste me ek nadi aai to aap ne ALLĀH ta’ala se dua ki to ALLĀH ke fazl se nadi me aage jaane ke liye raasta ho gaya.
Aap apne lashkar ke saath Mandavgadh pahunche. Qile ki deewaar bahot oonchi thi to aap ne ALLĀH ta’ala se dua ki to ALLĀH ke fazl se aap ka ghoda hawa me itna ooncha kooda ke aap ghode ke saath qile me daakhil ho gaye.
Mehandi Raj ke lashkar ke saath aap ke lashkar ki jang shuru hui. Aap jang ke dauraan namaaz ada akrne ke liye rookte tab bhi koi aap ko kisi bhi tarah ka nuqsaan nahi kar paata tha. Mehandi Raj ne aap ko haraane ki bahot koshish ki magar jab wo kaamyaab na ho saka to us ne apne jaadoo se aap ko haraane ki koshish ki. Is me bhi wo nakaam hua.
Chunaanche Mehandi Raj darkar bhaaga aur Lohaani ghaar me chala gaya. Aap bhi us ka pichha karte hue ghaar me pahunche aur us se jang karne lage. Mehandi Raj ne rote hue muafi maangne ka dikhaawa kiya aur apni talwaar neeche rakh di. Aap ne bhi use ek mauqa diya. Aur apni talwaar neeche rakhkar bahaar aane ke liye palte. Mehandi Raj ne mauqa dekhkar foran talwaar uthaakar aap par hamla kar diya aur aap ki gardan par waar kiya. Aap jakhmi hokar shahaadat ke qareeb the magar aap ki roohaani taaqat ki wajah se aap ladte rahe aur Mehandi Raj ki choti kaat daala jis me Mehandi Raj ki tamaam taaqat thi aur phir us ke tukde tukde karke qatl kar diya. Aur aap bhi shaheed ho gaye.
Is tarah aap jawaani me mazloomo ki madad ke liye jang karte hue apni jaan ki qurbaani di aur zaalim raja ke zulm se logo ko najaat ata farmai.
Shahaadat ke baad aap apne daada Sayyed Ilm-ud-deen ke khwaab me tashreef laaye aur bataaya ke ‘Hum ne Mandavgadh fateh kar liya hai aur main shaheed ho gaya hu.’
Sayyed Ilm-ud-deen Sultaan Mahmood Begada ke saath Mandavgadh aaye aur aap ke jism paak ko ek sandook me rakha aur us sandook ko oont par rakhkar Gujarat ki taraf rawaana hua. Jab kaafila Lilapur (Unava) me pahuncha to wo oontni waha rook gaya. Jab bahot koshish karne ke baad oontni aage na badhi to sab samjh gaye ke ye wo hi maqaam hai jaha aap ko dafn karna hai. Aap ki wasiyat ke mutaabik aap ke qadam ki jaanib Mehandi Raj ki choti ko bhi dafn kiya gaya.
****************
Aap ka wisaal 29 Moharram 897 Hijri (2 December 1491 A.D.) ko Jum’aa ke roz hua.
Aap ka mazaar Unava (Gujarat) me hai.
****************
Aap ka aastaana ek aisa Daar-ush-shifa hai jaha museebatzada ko museebat se najaat milti hai. Badi ta’adaad me log Shareer jinn wa aaseb, jaadoo tona, junoon aur deemaagi beemaariyo se najaat paane ke liye yaha aate hai aur faiz haasil karte hain.
****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Sayyed Ali Meeran Daataar rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle bait ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.