.
Ajmer Sharif k Hakeem(Judge) ne ek baar kisi be gunah shakhs ko sulli par chadha diya aur uski Maa ko kehla bheja ki Aapne bete ki laash aa kar le jaaye.
.
Magar wahaan jaane k bajaaye us ki Maa roti huwi Sarkare Gareeb Nawaaz Hassan Sanjari( Rehmatullahe Alayhi) ki bargah mein Hazir hui aur fhariyaad ki: .
"Aah! Mera sahara cheen gaaya, Mera ghar ujaad gaaya, Ya Gareeb Nawaaz(Rehmatullahe Alayhi) mera ek hi beta tha usse Hakim zaalim ne be-Kasoor sulli par chadha diya hai."
.
Yeh sunkar Aap(Rehmatullahe Alayhi) Jalaal mein aakar uthe aur farmaaya:
.
"Mujhe Aapne bete ki laash par le chalo.
.
Chunecha us k saath Aap(Rehmatullahe Alayhi) uski laash par aaye aur us ki taraf ishaara kar k farmaaya:
.
"Ae Maktool! Agar Hakeem-A-Waqt ne tujhe bekasoor sulli di hai toh Allah Azzawajjal k hukum se uthe khada ho."
.
Fhoran laash mein Harkat paida hui aur dekhte hi dekhte woh shakhs zinda ho kar khada ho gaaya.
.
(Maahe Ajmer)
.
Allah Azzawajjal ki un pe Rehmat ho aur unke sadke hamari Magfirat ho,
Ameen.
.
Q.Kiya Banda kisi ko zinda kar sakta hai ?
.
Piyare Islaami Bhaiyo!
Kaheen Shaytaan yeh waswaase na daale ki Marna aur Jilaana toh sirf Allah Azzawajjal hi ka kaam hai, koi Banda yeh kaise kar sakta hai ?
.
Beshak Allah Azzawajjal hi har cheez pe qadir hai magar woh Aapni kudrat kaamila se jis ko chahta hai Iqtiyaarat aata farmaata hai.
.
Dekhiye Murde ko Jaan bakhsna Allah Azzawajjal ka kaam hai,
.
Magar Allah Azzawajjal k diye huwe iqtiyarat se Hazrat Sayyeduna Isha Roohullah Alayhis Salaam bhi Aisa karte the.
.
Chunecha Parah 3 Surah Aale Imraan Ayaat Number 49 mein hai:
.
Tarjuma Kanjul Imaan:
.
"Ki mein tumhare liye Mitti se parinda ki si Murat banata hoon fhir us mein fhook marta hoon toh woh fhoran Parinda ho jaata hai Allah Azzawajjal k Hukum se."

No comments:
Post a Comment