Thursday, December 12, 2013

Dua for Success

DAS TOOR YA HASAA BA TE NAU BATE DASTOOR

(Istikhara Ki Namaz)
===========================
Jab bhi koi accha kaam karne ka irada ho to Allah se salah lena chahiye, isi salah ko istikhara kahte hain. Kai hadeeso mein istikhara karne par bahut zor diya gaya hai. Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya - Allah se salah na lena (istikhara na karna) bad-bakhti aur kam-nasibi ki baat hai.

Isliye hum koi bhi accha kaam karne ja rahe hon to usko karne se pahle istikhara karna chahiye. Iske karne se Allah humko ishara de deta hai ke us kaam mein hamari bhalai hai ya burai hai. Jese kisi se shaadi ke liye rishta chal raha ho to ye pata karna ke rishta karna thik hai ya nahi ya ye business mere liye thik hai ya nahi, ya ye safar mere liye thik hai ya nahi wagerah wagerah. Is tarah ke sab kaam karne se pahle istikhara karna chahiye, iske baad aap jo kaam karenge Allah ne chaha to phir kaam karne ya na karne ke baad sharmindagi na hogi.

Istikhara ka tarika -
Raat ko sone se pahle 2 rakat namaz nafil padhiye, uske baad jo arabi mein dua hai usko khoob dil laga kar padhiye. Is dua ko padhte time jab 'Haazal Amr' lafz aae to us kaam ko dhyan kariye jis kaam ke liye istikhara kar rahe hain, is dua ko padhne ke baad paak-saaf bistar/chaadar par kaaba ki taraf muh karke ba-wuzu so jaaiye. Subha uth kar us kaam ko karne ya na karne (dono mein se) dil zyada jis taraf mazbuti se jhuke wahi kaam karna chahiye, kyonke ye ishara Allah ki taraf se hota hai.
Agar ek baar mein humko ye samajh nahi aata ke dil kis taraf zyada jhuk raha hai to is amal ko 7 din tak bhi kar sakte hain, Allah ne chaha to jis kaam mein aapki bhalai hai aapka dil us taraf Allah jhuka dega, lekin phir jis taraf jhuke wahi kaam karna chahiye. Iske ulte kaam karne par nuksaan bhi ho sakta hai.

Bahut se log dusro se bolte hain ke hamare liye istikhara kar do, wo bhi thik hai lekin aap khud karen to zyada behtar hoga.

Allah hum sab ki madad farmae, aameen



No comments: