Thursday, July 18, 2013

Hadees Shareef :-

∗ Be-Namazi Ke Ghar Barkat Nahi …..
.
» Be-Namazi Ke Nahusat Se Ghar Ki
Barkat Nikal Jaati Hai «
.
Ek Sahabi Ne Arz Ki, “Aye Allah Ke
Nabi (Sallallahu Alaihi Wasallam) !
Mere Ghar Barkat Nahi, Kiya Karoon?”
.
Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne
Farmaya, “Apne Ghar Ke Darwaze Par
Parda Lagao.
.
Sahabi Ne Aisa Hi Kiya
.
Kuch Din Bad Fhir Aaye Arz Kiya “Ab
Mere Ghar Bohot Barkat Hai! Lekin
Parde Se Kiya Wasta ?”
.
Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne
Farmaya Ke, “Aap Ke Ghar Ke Pass Se
Be-Namazi Guzarte Hain Unki
Nahusat Ghar Pe Padti Thi Aur
Barkat Nikal Jati Thi”.
.
Socho Jis Ghar Me Hi Be Namazi Hon
To Kaise Barkat Ho?.
.
Pyary Aaqa Muhammad Mustafa sal lal lahu alayhi wa sallam Ny
Farmaya, “Jis Momin Bandy Ki Aankhon
Se Allah Ta’ala Ke Khauf Sy Aanso
Tapak Pary, Khua Wo (Aanso) Makhi
Ke Sir Ke Barabar Kiyun Na Hon, Tu
Allah Ta’ala Us Par Jahannum Ki Aag
Haraam Farma Dy Ga.
-: (‘Ibne Maja’ Kitab-Uz-Zohad, Hades
No: 4197)
.
ALLAH Hum Tamam Musalmano Ko
Namazo Ko Unke Waqt mei Ada Karne
ki Taufeeq Ata Kare
.
♥ Aameen ♥

No comments: