Tuesday, March 11, 2014

●Qabron Par Salaam karne Ke Muttaliq Kuch Ahadees

Hazrate Abdullah Bin Umar Farmate Hain Ke Rasoole Akram Sallallahu Tabarak Taala Alyhe Wasallam Ne Uhad Se wapsi Par Hazrate Musa'b Bin umair k Paas Ruke Aur Farmaya Mai Gawaahi Deta Hu k Allah Tabarak Taala K Nazdik Tum Zinda Ho Aur Apne ashaab Se farmaya Tum Inki Ziyarat kiya Karo aur salaam Pesh Kiya Karo
Al Maujamul Ausaat 4/462

Hazrate Abdullah Bin saad farmate Hai k mujhe Hazrate Abu Huraiarah Ne Taalim di Ke Jab bhi qabro Ke Qareeb se guzro to Jinko Jante Ho Unko Yun salaam karo Assallamualykum Ya Ahlal Quboor Aur Jinko Nahi Jante Unko Yun salaam Ada karo
Assalaamu alaikum Alal Muslimeen
Al Mussanaf 3/339

TAJDARE AMBIYA SALLALLAHU TABARAK TAALA ALYHE WASALLAM NE Irshad Farmaya k Jo Shaks kabhi Apne kisi Musalman Bhai Ke qabr ke Paas Se Guzre Jis ko Woh duniya Me Janta Tha To Woh Qabrwala Use Pehchan Leta Hai
Al Esstazkar 2 /165

Hazrate Abu Huraiarah Bayan Farmate hain Ke Jo banda Bhi Kisi Aaise Shakhs ke qabr ke Paas Se Guzre Jis Ko woh Duniya Me Pehchanta Tha Pas Usko salaam Kare To Woh Usko Pehchanta Hai Aur salaam ka JawaaB DETA hai
Tarikhe Baghdad 6/15
Kanzul Ummal 42556

SubhanAllah SubhanAllah

•»AL-HAMDH SHARIF KA MUKHTASAR TAZKIRA«•

HADEES
*********
Sayyad-A-Aalam Noor-A-Mujassam SALLALLAHU-TA'AALA-ALAIHI-WASALLAM Ne Irshad Farmaya Ki Sur-A-Fateha Har Marz Keliye Shifa Hain!


Isi Waaste Bujurgaan-A-Deen Mukhtalif Tarikon Se Likhker Marizon Ko Pilaate Hain Jisse Ba-Fazl-A-Ilaahi-Ta'aala Shifa Haasil Hoti Hain!

Iski Azmat Ka Kuch Andaza Sayyad-A-Aalam SALLALLAHU-TA'AALA-ALAIHI-WASALLAM Ke Is Irshad Se Hosakta Hain Jo Aapne Iske Baare May Irshad Farmaya Tha Aur Wo Yeh Hain Ki Agar Yeh Surat Tauraat Sharif May Hoti To Musa Alaihi Salam Ki Kaum Yahudiyat Ikhtiyar Na Karti, Aur Agar Injeel Sharif May Hoti To Isa Alaihi Salam Ki Kaum Nasraniyat Ikhtiyar Na Karti Aur Agar Yeh Surat Zuboor Sharif May Hoti To Dawood Alaihi Salam Ki Kaum Maskh Na Ki Jati Aur Jo Musalman Isko Padhe To ALLAH-TA'AALA Pure Quraan Ke Padhne Ka Sawab Ata Farmayega Aur Jumla Momineen Aur Jumla Mominaat Per Sadqa Karne Ke Barabar Sawab Payega!

(Nizaam-A-Shariyat, Pg-140)

********************************
TASHRIH
**********
Al-Hamdh Sharif Ko Sur-A-Fateha Bhi Kehte Hain, Isme 7 Aayatain, 27 Kalme, Aur 104 Huroof Hain!

Dua Kubul Karane Ka Islami Tarika-

Sayyad-A-Aalam Noor-A-Mujassam SALLALLAHU-TA'AALA-ALAIHI-WASALLAM Ne Irshad Farmaya Ki Sur-A-Fateha 100 Martaba Padhker Jo Dua Maangi Jaye ALLAH-TA'AALA Usko Kubul Farmata Hain!

********************************