Thursday, July 18, 2013

ZIYARAT E NABI SALLALLAHU TA'ALA ALAYHI WA SALLAM

Durood sharif

Buzurgo ne farmaya ke jo shakhs har shab e jum'aa ( jum'aa or jume'raat ki darmiyani raat ) is durood sharif ko pabandi se kam az kam ek martaba padhega

Maot k waqt SARKAR E MADINA SALLALLAHU ALAYHI WA SALLAM ki ziyarat karega

Or qabr me dakhil hote waqt bhi yaha'n tak ke wo dekhega ke SARKAR E MADINA SALLALLAHU ALAYHI WA SALLAM use qabr me apne rahmat bhar e haatho'n se utaar rahe hain

اللهم صل و سلم و بارك على سيدنا ن النبي الامي الحبيب العالى القدر العظيم الجاه و على اله و صحبه و سلم

ALLAHUMMA SALLI WA SALLIM WA BARIK A'LA SAYYIDINA MUHAMMADI NINNABI IL UMMI IL HABEEBIL A'ALIL QADRIL A'ZEEMIL JAAHI WA A'ALA ALIHI WA SAHBIHI WASALLIM 

Hadees Shareef :-

∗ Be-Namazi Ke Ghar Barkat Nahi …..
.
» Be-Namazi Ke Nahusat Se Ghar Ki
Barkat Nikal Jaati Hai «
.
Ek Sahabi Ne Arz Ki, “Aye Allah Ke
Nabi (Sallallahu Alaihi Wasallam) !
Mere Ghar Barkat Nahi, Kiya Karoon?”
.
Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne
Farmaya, “Apne Ghar Ke Darwaze Par
Parda Lagao.
.
Sahabi Ne Aisa Hi Kiya
.
Kuch Din Bad Fhir Aaye Arz Kiya “Ab
Mere Ghar Bohot Barkat Hai! Lekin
Parde Se Kiya Wasta ?”
.
Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne
Farmaya Ke, “Aap Ke Ghar Ke Pass Se
Be-Namazi Guzarte Hain Unki
Nahusat Ghar Pe Padti Thi Aur
Barkat Nikal Jati Thi”.
.
Socho Jis Ghar Me Hi Be Namazi Hon
To Kaise Barkat Ho?.
.
Pyary Aaqa Muhammad Mustafa sal lal lahu alayhi wa sallam Ny
Farmaya, “Jis Momin Bandy Ki Aankhon
Se Allah Ta’ala Ke Khauf Sy Aanso
Tapak Pary, Khua Wo (Aanso) Makhi
Ke Sir Ke Barabar Kiyun Na Hon, Tu
Allah Ta’ala Us Par Jahannum Ki Aag
Haraam Farma Dy Ga.
-: (‘Ibne Maja’ Kitab-Uz-Zohad, Hades
No: 4197)
.
ALLAH Hum Tamam Musalmano Ko
Namazo Ko Unke Waqt mei Ada Karne
ki Taufeeq Ata Kare
.
♥ Aameen ♥

Must read!

ASSALAMU ALAIKUM
"ZAROORI MALUMAT"
"ZAROOR PADHAY"
SAWAAL: Rooh Qabz Karne
Ke Liye "Malkal Maut" Kitne
Farishton Ko Apne Saath Le
Kar Aate Hain?
JAWAAB: Momin Ki Rooh
Qabz Karne Ke Liye "Malkal
Maut" Apne Hamraah
"Rahmat" Ke 6 Laakh
Farishte Laate Hain Aur
Kaafir Ki Rooh Qabz Karne
Ke Liye 6 Laakh "Azaab" Ke
Farishte Unke Saath Hote
Hain.
[Ma'rijun Nubuwwa: Jild-3,
Safa-105]
SAWAAL: Us Farishte Ka Kya
Naam Hai Jo "QIYAMAT" Ke
Din Zameen Ko Lapetega?
JAWAAB: Us Farishte Ka
Naam
"RIYAFEEL" (Alaihissalaam)
Hai Jo Qiyamat Ke Din
Tamam Zameen Ko
Lapetega.
[Al Ittiqan Fi Uloomul
Quran: Jild-1, Safa-60]
SAWAAL: Woh Kaunsa
Farishta Hai Ke Jiske
Maathe Par Saara
"QURAN" Likh Diya Gaya
Hai?
JAWAAB: Woh Hazrat
Israfeel (Alaihissalaam)
Hain Ke Jinki Peshaani Par
Poora Quran Likh Diya Gaya
Hai.
[Tafseer Naeemi: Jild-2,
Safa-309]
SAWAAL: Woh Kaunsa
Farishta Hai Jo Qiyamat Ke
Din Logon Ko
Maidaan-e-Mahsh ar Ki
Taraf Bulayega?
JAWAAB: Woh Hazrat
Israfeel
(Alaihissalaam) Hain.
Baa'az Ne Kaha Hai Ke
Nidaa (Aawaaz) To Hazrat
Jibreel (Alaihissalaam)
Denge Aur Soor Hazrat
Israfeel (Alaihissalaam)
Phoonkege.
[Saavi: Jild-3, Safa-65]
SAWAAL: Jannat Ke Khazin
Farishte Ka Kya Naam Hai?
JAWAAB: Jannat Ke Farishte
Ka Naam
"RIZWAN" (Alaihissalaam)
Hai.
SAWAAL: Dozakh Ke Khazin
Farishte Ka Naam Kya Hai?
JAWAAB: Dozakh Ke Khazin
Farishte Ka Naam
"MALIK" (Alaihissalaam)
Hai.
[Al Ittiqan Fi Uloomul
Quran: Jild-1, Safa-60]
JAZAKALLAH KHAIR*