Friday, November 15, 2013

""Please pura padhe....""Khatoon-e-Jannat Hazrat Fatima (Radhi Allahu Ta’ala Anha)

""Please pura padhe....""Khatoon-e-Janna -t Hazrat Fatima (Radhi Allahu Ta’ala
Anha) Jab Bimaar Hui To Farmaya Ki..... Aye Sher-A-Khuda!
Mere Intekaal Ke Baad Fala Jagah Maine Ek Kaagaz
Ka Tukda Badi Hifazat Se Rakha Hai..... Us Kaagaz Ko
Nikaal Kar Mere Kafan Me Rakh Dena Aur Use
Padhna Nahi.... Hazrat Ali Ne Farmaya, Fatima!
RASOOL ALLAH Ka Waasta Deker Kehta Hoon Ki
Mujhe Bata Do Ki Us Kaagaz Me Kya Likha Hai? Hazrat Fatima Radhi Allahu Ta’ala Anha Ne Farmaya
Ki..... Jab Mera Nikah Aapse Hone Laga Tha Toh
HUZUR (SALLALLAHU ALAIHI
WASALLAM) Ne Mujh se Farmaya- Aye Fatima! Me Ali
Se 400 Miskaal Chandi Ke Maher Par Tumahra
Nikah Karne Laga Hoon! Maine Arz Kiya, Ya RASOOL ALLAH! Ali Mujhe
Manzoor Hai Lekin Itna Maher Mujhe Manzoor Nahi! Itne May Zibrayil Amin Ne Haazir Hoker Huzoor Se
Arz Kiya, Ya RASOOL ALLAH! KHUDA Farmata Hain Ki
Main Jannat Aur Uski Nematain Fatima Ka Maher
Mukarrar Karta Hoon! Huzoor Ne Mujhe Iski Khabar Di Toh Main Fir Bhi
Razi Na Hui! Huzoor SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM
Ne Farmaya,
Toh Fir Khud Hi Batao Ki Maher Kya Ho? Maine Arz Kiya Ya RASOOL ALLAH! Aap Har Waqt
Apni Ummat Ke Gham
Me Rehte Hai!
Mai Chahti Hoon Ki Aapki Gunahgar Ummat Ki
Bakshish
Mera Maher Ho! Chunanche, Zibrayil Wapas Gaye Aur Fir Yeh Kaagaz
Ka Tukda Leker Aaye Jisme Likha Hai -
“Mai Ne Ummat-e-Mohamma -d Ki Shafa-at Fatima Ka
Maher Mukarrar
Kiya” (Jaami-Ul-Moaji -zaat Misri Pg-62) SABAK :- Huzoor SALLALLAHU
ALAIHI WASALLAM Ke Sadqe Me Hum Gunahgaron
Par ALLAH Ka Bada Fazl Wa Karam Hai Ki Huzoor Ki
Sahab-Zaadi Ko Bhi Hum Gunahgaron Ka Khayaal
Raha....
Aur Wo Hamari Bakshish Ka Intezaam Farma Gayi..... SubhanAllah...

Muharram mein Yom-e-Ashura ke roze ki ahmiyat
-------------------------------------------------------------------
Yom-e-ashura matlab 10wa din, Hum muharram ke 10 taarikh ko yaum-e-ashura kahte hain, is din ke roze ki ahmiyat bahut zyada hai, hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne Imam Hussain (radi allahu anhu) ki shahadat se bhi pahle is roze ko rakhne ka hukm farmaya tha aur khud hazratHussain radi allahu anhu ne bhi ye roze rakhe the. Isliye is dine ke roze ka relation hazrat Hussain (radi allahu anhu) ki shahadat se nahi hai. Balke iski ahmiat to pahle se hi hai, ye alag baat hai ke aapki shahadat bhi usi din Allah ne kubul ki.

(1) Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne ashura ke din ke roza ki ahmiyat mein farmaya (jiska matlab ye hai ke) mujhe Allah se ye ummid hai ke is din ke roze ki barkat se Allah 1 saal ke gunaho ko maaf kar deta hai.

Yaha par yeh baat dhyan rakhne ki hai ke jaha kahi bhi kisi roza rakhne ya accha kaam karne se gunaho ki maafi ki baat aati hai waha matlab sagira (chhote) gunaho se hota hai kyonke kabira (bade) gunah bager tauba (maafi) ke Allah maaf nahi karta. Aur kabira gunaho mein bhi aese gunah jismein kisi dusre insan ka haq ada nahi kiya gaya ho ya uska dil dukhaya gaya ho to jab tak aesa insan humko maaf nahi kar deta tab tak tauba karne se bhi Allah gunaho ko maaf nahi karta. Jab wo insan maaf karega, uske baad Allah maaf karega.

(2) Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya (jiska matlab yeh hai ke) ramzan ke roze ke baad sabse ahmiyat wala roza 'Yaum-e-Ashura' ke din ka roza hai.

(3) Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya (jiska matlab yeh hai ke) jab tum log Ashura (Moharram ki 10 taarikh) ka roza rakho to ya to 9-10 taarikh ka rakha karo ya 10-11 ka rakha karo. Kyonke yahudi bhi pehle se hi 10 muharram ka roza rakhte hain aur mein chahta hoon ke islam ke maanne walo ki apni alag pehchan ho, kisi dusure se uski baat milti hui na ho. Isliye agar yahudi 1 din ka roza (10 taarikh ka) roza rakhte hain to tum log 2 roza rakha karo.

to is din ka Roza rakhege na bhai/bahano ?

Moharram aur Yom-e-Ashura kya hai.

English mein jis tarah January, February ke mahine hote hain wese hi Arabi aur urdu mein ek mahine ka naam Moharram hai. Ye arabi urdu calendar ka sabse pehla mahina hai, jese English mein january hota hai. Isi tarah 'Yaum-e-Ashura' ek arabic word hai, jiska matlab hai 'Daswa Din'.

Muharram mahine ki 10 taarikh ko Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ke laadle nawase Hazrat Hussain (radi allahu anhu) aur unke rishtedaaro, saathiyo ko shaheed kar diya gaya tha. Ye din humko Hazrat Hussain (radi allahu anhu) ki shahadat ki yaad dilaata hai. Is din hum kuch neki ka kaam karke iska isaal-e-sawab Hazrat Hussain (radi allahu anhu) aur unke saathiyo ko pahuchana chahiye.

Lekin kuch log ye samajhte hain ke Moharram mahina aur 'Yaum-e-Ashura' ki ahmiyat (importance) aur is din ka roza isliye rakha jaata hai kyonke is din Hazrat Hussain (radi allahu anhu) aur unke saathiyo ko pyasa shaheed kar diya gaya tha. Yeh baat to apni jagah hai hi, lekin Islam mein Moharram mahina ki 10 taarikh (yaum-e-ashura) ki ahmiyat aur iska roza to Hazrat Hussain (radi allahu anhu) ki pedaish (birth) se bhi pahle se rakha jata hai. Balke Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ke duniya mein aane se bhi pahle se rakha jata hai, iska matlab ye ke dusre nabiyo ke time se hi Allah ne is mahine aur iske roze ko ahmiyat de rakhi hai.

Kuch hadeeso se 'Yaum-e-Ahsura' ki ahmiyat pata chalti hai. Jese -
(1) Allah ne zameen or aasman ashura ke din banae aur kayamat bhi isi din aaegi.
(2) Hazrat Adam (alyhissalam) aur maa Hawwa ko isi din paida farmaya.
(3) Hazrat Yunus (alyhissalam) ko 40 din ke baad machhli ke pait se bahar nikala.
(4) Hazrat Musa (alyhissalam) ko firon jese zalim badshah se isi din azaadi mili. Musa (alyhissalam) ke time bhi ashura ki ahmiyat thi aur aapke ummati bhi is din ka roza rakhte the.
(5) Hazrat Isa (alyhissalam) ko isi din asman per zinda utha lia gaya.
(6) Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne bhi is din roza rakhne ka hukm apne sahaba ko diya tha, (jab tak hazrat Hussain radi allahu anhu ki shahadat bhi nahi hui thi)

Yaani islam mein is din ki ahmiyat aur roza rakhne ka silsila to Hazrat Hussain (radi allahu anhu) ki shahadat se bhi pehle se chala aa raha hai, aur Hazrat Hussain (radi allahu anhu) ne bhi khud is din ka roza rakha tha. Ye baat alag he ke Allah ne Hazrat Hussain (radiallahu anhu) ki shahadat bhi isi din kubul karke iski ahmiyat (importance) mein ek sitara aur badha diya.

ZaliMo Ke ZulM




Maidaan-e-Karba la Me Zaalimon Ne Hazrat Imaam Radi-Allahu-Ta' ala-Anhu Par 7vi Moharram Se Paani Band Kardiya.

8wi Tarik Ko Ahle-Bait Ke Chhote-Bade Pyaas Se Nidhal Huye Aur
AL-ATASH!
AL-ATASH!
(Pyaas-Pyaas) Ki Aawaazen Aane Lagi!.

Moharram Ki 9vi Tarikh Subah Se Dopahar Tak Ibne Saad Se Guftagu Me Guzri! Baad Namaz-e-Zohar

Hazrat Imaam Husain Radi-Allahu-Anh u Kheme Se Bahar Baithe Huye Kalamullah Ki Tilawat Farma Rahe The Aur Aankhon Se Aanshu Behte Jaate The!.
Us Waqt Kisi Musafir Khuda Parasht Ka Guzar Hua!
Hazrat Imaam Husain Radi-Allahu-Ta' ala Anhu Ko Is Aalam Me Dekhkar Usne Aapka Haal Puchha To Aapne Farmaya-

Musafir Sayyad-e-Be Watan Hoon,Sitam Mujh Pe Kiya In Shakiyon Ne, Nabi Ki Aal Hoon, Tishna Dahan Hoon! Koofiyon Ne Badi-Badi Khushamadon Se Khat Aur Qaasid Bhej Bhejkar Mujhe Bulaya Aur Ab Mere Sath Bewafayi Aur Dagaa Kar Rahe
Hain Aur Mere Khoon Ke Pyaase Hogaye Hain!.
(Tankihush Shahadaten Page-58)

Hazrat Imaam Husain Radi-Allahu-Ta' ala-Anhu Ka Yeh Waqiya Qayamat Tak Yahi Pukaarta Rahega Ki Koofiyon Ne Jhooti Mohabbat Ka Muzahira Karke
Hazrat Imaam Aali Maqaam Radi-
Allahu-Ta'ala- Anhu Par Intehayi
Zulm Wa Sitam Kiya!

●▬▬▬▬๑۩۩๑▬▬▬▬▬●
Don't forget to click on SHARE
LIKE √ Comment √ SHARE √
Mere Aamal Is Qabil To Nahi Ke Main Jannat Mangu,
Aye Parwardigar,Bus itni Si”DUA”Hai Ke AHLE BAITH Ke SadQe Me Mujhe Jahannam Se Bacha Lena Aameen…!!!
Duaao'On Mey Apney Iss Gunaah Gaar Bhai Ko Bhi Yaad Rakhieay Ga
MAY ALLAH PAAK Bless U ALL

Name of72 shahed in karbal sharef.... 72 MARTYRS OF KARBALA

1 Hazrat Imam Hussain RadiAllaho anho
2 Hazrat Abbas Bin Ali
3 Hazrat Ali Akber Bin Hussain
4 Hazrat Ali Asghar Bin Hussain
5 Hazrat Abdullah Bin Ali
6 Hazrat Jafer Bin Ali
7 Hazrat Usman Bin Ali
8 Hazrat Abu Baker Bin Ali
9 Hazrat Abu Baker Bin Hasan Bin Ali,
10 Hazrat Qasim Bin Hasan Bin Ali
11 Hazrat Abdullah Bin Hassan
12 Hazrat Aun bin Abdullah Bin Jafer
13 Hazrat Mohammad Bin Abdullah bin Jafer
14 Hazrat Abdullah Bin Muslim Bin Aqeel
15 Hazrat Mohammad BIN Muslim
16 Hazrat Mohammad Bin Saeed bin Aqeel
17 Hazrat Abdul Rehman Bin Aqeel
18 Hazrat Jafer Bin Aqeel
19 Hazrat Uns Bin Hars Asadi 20 Hazrat Habib Bin Mazahir
Asadi
21 Hazrat Muslim Bin Ausaja Asadi
22 Hazrat Qais Bin Masher Asadi
23 Hazrat Abu Samama Umru Bin Abdullah
24 Hazrat Boreer Hamdani
25 Hazrat Hanala Bin Asad
26 Hazrat Abis Shakri
27 Hazrat Abdul Rehman Rahbi
28 Hazrat Saif Bin Hars
29 Hazrat Amer Bin Abdullah Hamdani
30 Hazrat Junada Bin Hars
31 Hazrat Majma BinAbdullah
32 Hazrat Nafey Bin Halal
33 Hazrat Hajjaj Bin Masrooq (Moazzin of Kafla-e-
Kerbala)
34 Hazrat Umer Bin Qarza
35 Hazrat Abdul Rehman BinAbd-e-Rub
36 Hazrat Junada Bin Kab
37 Hazrat Amer Bin Janada
38 Hazrat Naeem Bin Ajlan
39 Hazrat Saad Bin Hars
40 Hazrat Zuhair Bin Qain
41 Hazrat Salman BinMazarib 42 Hazrat Saeed Bin Umer
43 Hazrat Abdullah BinBasheer
44 Hazrat Yazid Bin Zaid Kandi
45 Hazrat Harb Bin Umr-ul-Qais
46 Hazrat Zaheer Bin Amer
47 Hazrat Basheer Bin Amer
48 Hazrat Abdullah ArwahGahffari
49 Hazrat Jhon Ghulam Abu Zar Ghaffari
50 Hazrat Abdullah Bin Ameer
51 Hazrat Abdul Aala Bin Yazeed
52 Hazrat Saleem Bin Ameer
53 Hazrat Qasim Bin Habib
54 Hazrat Zaid Bin Saleem
55 Hazrat Noman Bin Umer
56 Hazrat Yazeed BinSabeet
57 Hazrat Amir Bin Muslim
58 Hazrat Saif Bin Malik
59 Hazrat Jabir Bin Hajjaji
60 Hazrat Masood BinHajjaji
61 Hazrat Abdul Rehman Bin Masood
62 Hazrat Baker Bin Haee
63 Hazrat Ammar Bin HassanTai
64 Hazrat Zurghama Bin Malik
65 Hazrat Kanana Bin Ateeq
66 Hazrat Aqaba Bin Sult
67 Hazrat Hur Bin Yazeed Tameemi
68 Hazrat Aqaba Bin Sult
69 Hazrat Habala Bin Ali Sheebani
70 Hazrat Qanab Bin Umer
71 Hazrat Abdullah Bin yaqter
72 Hazrat Ghulam-e-Turki Ghulam of Imam-e-SAJJAD
RadiAllaho ta'ala anhoma