Thursday, November 28, 2013

Dua

Zillatu Amantu Sa Izzatu Amantu Sa

Monday, November 25, 2013

Allah's Pharmacy




ALLAH’s PHARMACY .... Please Read & Share 

Apple : Protects heart and prevent constipation

Banana : Strengthens bones and control Blood Pressure

Carrot : Save eyesight and from combat cancer

Lemon : Controls Blood Pressure and Smooths skin


Mango : Boost memory and Regulate Thyroid

Grapes : Saves eyesight and Combat formation of stone of Kidney stone

Orange : supports and strengthens immune system of the body and ends Insomnia

Peach : stop stroke and aids Digestion

SUBHAN’ ALLAH THEN WHICH MERCY OF THE ALLAH YOU WILL DENY …..??

Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ki kuch aadate/habits

===================
1. Chalte time nazar Niche Rakhte.
matlab taak-jhaak karte hue na chalte aur na kisi parai aurat ko dekhte.
2. Salam Hamesha Pehle Karte.
matlab ye na dekhte ke saame chhota baccha hai ya koi bada hai, na ye dekhte ke ameer hai ya gareeb, balke salam pahle khud karte.
3. Mehman Nawazi Khud Karte.
4. Nafil Namaz Chup Ke Padhte.
Matlab ibadat mein dikhawa nahi karte the.
5.FARZ Ibadat Sab ke Samne Karte.
Farz ibadat sabke saamne karte, taake dusro ko sabak mile.
6. Bimar ki tabiyat dekhne jaate.
8. Miswak (daatun) Karte.
9. Ishaa ki namaz Se Pehle Kabhi Na Sote.
10. Kabhi Khulkar Na Haste, Sirf Muskurate.
Allah humko bhi in saari baato par amal karne ki taufik ata kare. Aameen.

Friday, November 22, 2013

Namaz Padhne Ka Tarika !

GAUR SE SUNE aur AMAL KARE:
Namaz Ki Halat Me Aankhen Band rakhna Makhrooh Hai,
Namaz Me Jab kiyam me Khade Ho To Nazre Sajde Ki Jagah Rahe,
Jab Ruku me ho To Pairon Ke Dermiyan Dekho,
Jab Sajda Karo To Naak Ko dekhna,

Jab kayde mein Baith Jao To Nazaren Jholi Mein Honi Chahiye,
Aur Jab Salam Phero To Dono Kandho Ko Dekho.
PLZ 4wrd
Kya Pata aap ki Wajah Se Kisi Ki Namaz Sahi Ho JaY...
Aap {ѕαℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнι ωαѕαℓℓαм} ne farmaya.:
BADNASEEB hai Woh shaks Jo Waledain ki khidmt kar K dua Nhi Leta Aur Logon se Kehta hai k Mere Liye dua krna
BADNASEEB hai woh shaks jo Namaz_e_Isha Nhi Parhta Aur Dawaon Mein Pursukun Neend talash krta hai
BADNASEEB hai wo shaks jo Fajr K waqt soya Rehta hai Aur Logo se Tangi-e-Rizq ka shikwa krta hai
"Aur AAP {ѕαℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнι ωαѕαℓℓαм} Ne farmaya."Jis Ne Meri 1,hadees suni aur dusron tak pahuchaye to us K liye Qayamat K roz meri shafaa't Wajib hogi..

Sunday, November 17, 2013

•»SAKHI GHARANA«• **************** HIQAYAT ******



Ek Martaba Hazrat Imaam Hasan, Hazrat Imaam Hussain Aur Abdullah Bin Jafar Radi-Allahu-Ta'aala-Anhum Hajj Ko Ja Rahe The Ki Jis Unth Per Safar Ka Samaan Ladha Hua Tha Wo Unth Kahin Piche Reh Gaya! Aap Sab Bhooke Pyaase The Aap Log Ek Budiya Ki Zhopdi May Tashrif Legaye Aur Farmaya, Kuch Pine Ko Hain? Usne Arz Ki Haan! Hain! Us Budiya Ke Paas Ek Bakri Thi! Usne Uska Doodh Doahker Haazir Kiya! Unohne Piya Fir Pucha Kuch Khane Ko Bhi Hain? Usne Jawab Diya Ki Taiyyar Nahi Hain Isi Bakri Ko Zibah Karke Kha Lijiye!

Chunanche, Wo Bakri Zibah Ki Gayi Aur Use Khaker Farmaya Badi Bi Hum Quraish Mayse Hain! Jab Is Safar Se Lautege To Hamare Paas Aana! Hum Tere Ehsaan Ka Badla Dege! Yeh Farmaker Rawana Hogaye!

Jab Us Budiya Ka Khawindh (Shoher) Ghar Pahucha To Khafa Hoker Kehne Laga Tune Bakri Un Logon Ko Khila Di Jinko Tu Jaanti Bhi Nahi Ki Wo Kaun Hain? Thode Din Gujre The Ki Wo Miyan-Biwi Muflisi Ki Wajahse Madina Munavwara May Aa Pade Aur Unth Ki Lendiyaan Chun-Chunker Bechne Lage!

Ek Din Wo Budiya Kahin Ja Rahi Thi Ki Hazrat Hasan Radi-Allahu-Ta'aala-Anhu Ne Use Dekhker Pehchan Liya Aur Use Bulaker Farmaya, Badi Bi Mujhe Pehchana? Usne Arz Kiya Nahi! Farmaya Main Wo Shaks Hoon Jo Fala Din Tumahra Mehmaan Hua Tha! Budiya Ne Ba-Gaur Dekha Aur Boli Haan Haan Pehchan Gayi, Wakayi Aap Meri Zhopdi May Tashrif Laye The!
Hazrat Imaam Hasan Radi-Allahu-Ta'aala-Anhu Ne Hukm Farmaya Ki Ek Hazaar Bakriyan Kharidker Is Budiya Ko Di Jaye Aur Sath Hi Ek Hazaar Dinaar Nakadh Bhi Diya Jaye!

Chunanche, Taamil-A-Irshad Ki Gayi Aur Budiya Ko Ek Hazaar Bakriyan Aur Ek Hazaar Dinaar De Diya Gaya Aur Fir Hazrat Imaam Hasan Radi-Allahu-Ta'aala-Anhu Ne Apne Gulam Ko Sath Karke Us Budiya Ko Hazrat Imaam Hussain Radi-Allahu-Ta'aala-Anhu Ke Paas Bhej Diya! Hazrat Imaam Hussain Radi-Allahu-Anhu Ne Usse Pucha Ki Bhai Sahab Ne Tumeh Kya Diya? Budiya Ne Jawab Diya Ki Ek Hazaar Bakriyan Aur Ek Hazaar Dinaar! Hazrat Imaam Hussain Radi-Allahu-Anhu Ne Bhi Ek Hazaar Bakriyan Aur Ek Hazaar Dinaar Us Budiya Ko Inayat Farmaye! Fir Aapne Gulam Ke Sath Us Budiya Ko Hazrat Abdullah Bin Jafar Radi-Allahu-Anhu Ke Paas Bhej Diya! Unohne Pucha Ki Dono Bhaiyon Ne Tumeh Kya Diya? Wo Boli 2 Hazaar Bakriyan Aur 2 Hazaar Dinaar! Hazrat Abdullah Ibne Jafar Radi-Allahu-Anhu Ne Bhi Usko 2 Hazaar Bakriyan Aur 2 Hazaar Dinaar Ata Farma Diye!

Wo Budiya 4 Hazaar Bakriyan Aur 4 Hazaar Dinaar Leker Apne Khawindh Ke Paas Aa Gayi Aur Kehne Lagi, Yeh Inaam Un Sakhiyon Ne Inayat Farmaya Hain Jisko Main Bakri Khilayi Thi!


Dua


«
اَللَّهُمَّ أَذْهِبْ عَنْهُ الْحَرَّ وَالْبَرْدَ
»

❝O Allâh! Take away heat and cold from him.❞ —And I have never felt any heat or cold since that day.”



This is amazing...never heard of this before! Allahu Akbar! (and this isn't some Shia fabrication)

♣ The Prophet [ṣallAllāhu ʿalayhi wa-sallam] made Dua for ʿAli ibn Abi Talib to become immune to cold and hot weather. Thereafter ʿAlī [RA] used to wear winter clothes in the summer, and summer clothes in the winter, and would feel neither cold or hot!! [Ibn Majah/“Ḥasan”]

☼ It was also (in addition to Sunan ibn Majah) recorded by Al-Imam Ahmad ibn Hanbal. The narration is on the authority of ʿAbdur-Raḥmān ibn Abī Laylā (one of the Tabi'in), who said that ʿAli ibn Abi Talib used to wear summer clothes in the winter, and winter clothes during the summer, so... فَقِيلَ لأَبِي لَوْ سَأَلْتَهُ عَنْ هَذَا someone told my father: “Why don’t you ask him about this?”, to which Sayyidunā ʿAlī (رضي الله عنه وأرضاه) replied:

إن رسول الله صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ بعث إلي وأنا أَرْمَدَ الْعَيْنِ يَوْمَ خَيْبَرَ، فَقُلْتُ: يَا رَسُولَ اللهِ! إنني أرمد العين، فتفل في عيني فقال: (اَللَّهُمَّ أَذْهِبْ عَنْهُ الْحَرَّ وَالْبَرْدَ) فَمَا وَجَدْتُ حَرًّا وَلَا بَرْدًا مُنْذُ يَوْمِئِذٍ

❅ “Most definitely, Allâh’s Messenger summoned me whilst I was suffering from an eye illness on the Day of the Battle of Khaybar. So I came to him and said, “O Messenger of Allâh! My eye is sore.” So the Prophet applied his saliva on my eye, and said:

«اَللَّهُمَّ أَذْهِبْ عَنْهُ الْحَرَّ وَالْبَرْدَ»

❝O Allâh! Take away heat and cold from him.❞ —And I have never felt any heat or cold since that day.”

The isnād (chain of transmitters) of this narration was verified to be ‘Ḥasan’ (fine, good, acceptable) — as I mentioned above — by the following scholars: ʿAli ibn Abu Bakr al-Haythami (d. 807 A.H.), Muhammad ash-Shawkani (d. 1255 A.H.), Sh. Aḥmad Shākir (d. 1377 A.H.), as well as Sh. Muhammad Nasiruddin al-Albani (d. 1420 A.H.) in his Ṣaḥīḥ Ibn Mājah, where he called it: ‘ḥasan li-ghayrih’.

Friday, November 15, 2013

""Please pura padhe....""Khatoon-e-Jannat Hazrat Fatima (Radhi Allahu Ta’ala Anha)

""Please pura padhe....""Khatoon-e-Janna -t Hazrat Fatima (Radhi Allahu Ta’ala
Anha) Jab Bimaar Hui To Farmaya Ki..... Aye Sher-A-Khuda!
Mere Intekaal Ke Baad Fala Jagah Maine Ek Kaagaz
Ka Tukda Badi Hifazat Se Rakha Hai..... Us Kaagaz Ko
Nikaal Kar Mere Kafan Me Rakh Dena Aur Use
Padhna Nahi.... Hazrat Ali Ne Farmaya, Fatima!
RASOOL ALLAH Ka Waasta Deker Kehta Hoon Ki
Mujhe Bata Do Ki Us Kaagaz Me Kya Likha Hai? Hazrat Fatima Radhi Allahu Ta’ala Anha Ne Farmaya
Ki..... Jab Mera Nikah Aapse Hone Laga Tha Toh
HUZUR (SALLALLAHU ALAIHI
WASALLAM) Ne Mujh se Farmaya- Aye Fatima! Me Ali
Se 400 Miskaal Chandi Ke Maher Par Tumahra
Nikah Karne Laga Hoon! Maine Arz Kiya, Ya RASOOL ALLAH! Ali Mujhe
Manzoor Hai Lekin Itna Maher Mujhe Manzoor Nahi! Itne May Zibrayil Amin Ne Haazir Hoker Huzoor Se
Arz Kiya, Ya RASOOL ALLAH! KHUDA Farmata Hain Ki
Main Jannat Aur Uski Nematain Fatima Ka Maher
Mukarrar Karta Hoon! Huzoor Ne Mujhe Iski Khabar Di Toh Main Fir Bhi
Razi Na Hui! Huzoor SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM
Ne Farmaya,
Toh Fir Khud Hi Batao Ki Maher Kya Ho? Maine Arz Kiya Ya RASOOL ALLAH! Aap Har Waqt
Apni Ummat Ke Gham
Me Rehte Hai!
Mai Chahti Hoon Ki Aapki Gunahgar Ummat Ki
Bakshish
Mera Maher Ho! Chunanche, Zibrayil Wapas Gaye Aur Fir Yeh Kaagaz
Ka Tukda Leker Aaye Jisme Likha Hai -
“Mai Ne Ummat-e-Mohamma -d Ki Shafa-at Fatima Ka
Maher Mukarrar
Kiya” (Jaami-Ul-Moaji -zaat Misri Pg-62) SABAK :- Huzoor SALLALLAHU
ALAIHI WASALLAM Ke Sadqe Me Hum Gunahgaron
Par ALLAH Ka Bada Fazl Wa Karam Hai Ki Huzoor Ki
Sahab-Zaadi Ko Bhi Hum Gunahgaron Ka Khayaal
Raha....
Aur Wo Hamari Bakshish Ka Intezaam Farma Gayi..... SubhanAllah...

Muharram mein Yom-e-Ashura ke roze ki ahmiyat
-------------------------------------------------------------------
Yom-e-ashura matlab 10wa din, Hum muharram ke 10 taarikh ko yaum-e-ashura kahte hain, is din ke roze ki ahmiyat bahut zyada hai, hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne Imam Hussain (radi allahu anhu) ki shahadat se bhi pahle is roze ko rakhne ka hukm farmaya tha aur khud hazratHussain radi allahu anhu ne bhi ye roze rakhe the. Isliye is dine ke roze ka relation hazrat Hussain (radi allahu anhu) ki shahadat se nahi hai. Balke iski ahmiat to pahle se hi hai, ye alag baat hai ke aapki shahadat bhi usi din Allah ne kubul ki.

(1) Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne ashura ke din ke roza ki ahmiyat mein farmaya (jiska matlab ye hai ke) mujhe Allah se ye ummid hai ke is din ke roze ki barkat se Allah 1 saal ke gunaho ko maaf kar deta hai.

Yaha par yeh baat dhyan rakhne ki hai ke jaha kahi bhi kisi roza rakhne ya accha kaam karne se gunaho ki maafi ki baat aati hai waha matlab sagira (chhote) gunaho se hota hai kyonke kabira (bade) gunah bager tauba (maafi) ke Allah maaf nahi karta. Aur kabira gunaho mein bhi aese gunah jismein kisi dusre insan ka haq ada nahi kiya gaya ho ya uska dil dukhaya gaya ho to jab tak aesa insan humko maaf nahi kar deta tab tak tauba karne se bhi Allah gunaho ko maaf nahi karta. Jab wo insan maaf karega, uske baad Allah maaf karega.

(2) Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya (jiska matlab yeh hai ke) ramzan ke roze ke baad sabse ahmiyat wala roza 'Yaum-e-Ashura' ke din ka roza hai.

(3) Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya (jiska matlab yeh hai ke) jab tum log Ashura (Moharram ki 10 taarikh) ka roza rakho to ya to 9-10 taarikh ka rakha karo ya 10-11 ka rakha karo. Kyonke yahudi bhi pehle se hi 10 muharram ka roza rakhte hain aur mein chahta hoon ke islam ke maanne walo ki apni alag pehchan ho, kisi dusure se uski baat milti hui na ho. Isliye agar yahudi 1 din ka roza (10 taarikh ka) roza rakhte hain to tum log 2 roza rakha karo.

to is din ka Roza rakhege na bhai/bahano ?

Moharram aur Yom-e-Ashura kya hai.

English mein jis tarah January, February ke mahine hote hain wese hi Arabi aur urdu mein ek mahine ka naam Moharram hai. Ye arabi urdu calendar ka sabse pehla mahina hai, jese English mein january hota hai. Isi tarah 'Yaum-e-Ashura' ek arabic word hai, jiska matlab hai 'Daswa Din'.

Muharram mahine ki 10 taarikh ko Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ke laadle nawase Hazrat Hussain (radi allahu anhu) aur unke rishtedaaro, saathiyo ko shaheed kar diya gaya tha. Ye din humko Hazrat Hussain (radi allahu anhu) ki shahadat ki yaad dilaata hai. Is din hum kuch neki ka kaam karke iska isaal-e-sawab Hazrat Hussain (radi allahu anhu) aur unke saathiyo ko pahuchana chahiye.

Lekin kuch log ye samajhte hain ke Moharram mahina aur 'Yaum-e-Ashura' ki ahmiyat (importance) aur is din ka roza isliye rakha jaata hai kyonke is din Hazrat Hussain (radi allahu anhu) aur unke saathiyo ko pyasa shaheed kar diya gaya tha. Yeh baat to apni jagah hai hi, lekin Islam mein Moharram mahina ki 10 taarikh (yaum-e-ashura) ki ahmiyat aur iska roza to Hazrat Hussain (radi allahu anhu) ki pedaish (birth) se bhi pahle se rakha jata hai. Balke Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ke duniya mein aane se bhi pahle se rakha jata hai, iska matlab ye ke dusre nabiyo ke time se hi Allah ne is mahine aur iske roze ko ahmiyat de rakhi hai.

Kuch hadeeso se 'Yaum-e-Ahsura' ki ahmiyat pata chalti hai. Jese -
(1) Allah ne zameen or aasman ashura ke din banae aur kayamat bhi isi din aaegi.
(2) Hazrat Adam (alyhissalam) aur maa Hawwa ko isi din paida farmaya.
(3) Hazrat Yunus (alyhissalam) ko 40 din ke baad machhli ke pait se bahar nikala.
(4) Hazrat Musa (alyhissalam) ko firon jese zalim badshah se isi din azaadi mili. Musa (alyhissalam) ke time bhi ashura ki ahmiyat thi aur aapke ummati bhi is din ka roza rakhte the.
(5) Hazrat Isa (alyhissalam) ko isi din asman per zinda utha lia gaya.
(6) Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne bhi is din roza rakhne ka hukm apne sahaba ko diya tha, (jab tak hazrat Hussain radi allahu anhu ki shahadat bhi nahi hui thi)

Yaani islam mein is din ki ahmiyat aur roza rakhne ka silsila to Hazrat Hussain (radi allahu anhu) ki shahadat se bhi pehle se chala aa raha hai, aur Hazrat Hussain (radi allahu anhu) ne bhi khud is din ka roza rakha tha. Ye baat alag he ke Allah ne Hazrat Hussain (radiallahu anhu) ki shahadat bhi isi din kubul karke iski ahmiyat (importance) mein ek sitara aur badha diya.

ZaliMo Ke ZulM




Maidaan-e-Karba la Me Zaalimon Ne Hazrat Imaam Radi-Allahu-Ta' ala-Anhu Par 7vi Moharram Se Paani Band Kardiya.

8wi Tarik Ko Ahle-Bait Ke Chhote-Bade Pyaas Se Nidhal Huye Aur
AL-ATASH!
AL-ATASH!
(Pyaas-Pyaas) Ki Aawaazen Aane Lagi!.

Moharram Ki 9vi Tarikh Subah Se Dopahar Tak Ibne Saad Se Guftagu Me Guzri! Baad Namaz-e-Zohar

Hazrat Imaam Husain Radi-Allahu-Anh u Kheme Se Bahar Baithe Huye Kalamullah Ki Tilawat Farma Rahe The Aur Aankhon Se Aanshu Behte Jaate The!.
Us Waqt Kisi Musafir Khuda Parasht Ka Guzar Hua!
Hazrat Imaam Husain Radi-Allahu-Ta' ala Anhu Ko Is Aalam Me Dekhkar Usne Aapka Haal Puchha To Aapne Farmaya-

Musafir Sayyad-e-Be Watan Hoon,Sitam Mujh Pe Kiya In Shakiyon Ne, Nabi Ki Aal Hoon, Tishna Dahan Hoon! Koofiyon Ne Badi-Badi Khushamadon Se Khat Aur Qaasid Bhej Bhejkar Mujhe Bulaya Aur Ab Mere Sath Bewafayi Aur Dagaa Kar Rahe
Hain Aur Mere Khoon Ke Pyaase Hogaye Hain!.
(Tankihush Shahadaten Page-58)

Hazrat Imaam Husain Radi-Allahu-Ta' ala-Anhu Ka Yeh Waqiya Qayamat Tak Yahi Pukaarta Rahega Ki Koofiyon Ne Jhooti Mohabbat Ka Muzahira Karke
Hazrat Imaam Aali Maqaam Radi-
Allahu-Ta'ala- Anhu Par Intehayi
Zulm Wa Sitam Kiya!

●▬▬▬▬๑۩۩๑▬▬▬▬▬●
Don't forget to click on SHARE
LIKE √ Comment √ SHARE √
Mere Aamal Is Qabil To Nahi Ke Main Jannat Mangu,
Aye Parwardigar,Bus itni Si”DUA”Hai Ke AHLE BAITH Ke SadQe Me Mujhe Jahannam Se Bacha Lena Aameen…!!!
Duaao'On Mey Apney Iss Gunaah Gaar Bhai Ko Bhi Yaad Rakhieay Ga
MAY ALLAH PAAK Bless U ALL

Name of72 shahed in karbal sharef.... 72 MARTYRS OF KARBALA

1 Hazrat Imam Hussain RadiAllaho anho
2 Hazrat Abbas Bin Ali
3 Hazrat Ali Akber Bin Hussain
4 Hazrat Ali Asghar Bin Hussain
5 Hazrat Abdullah Bin Ali
6 Hazrat Jafer Bin Ali
7 Hazrat Usman Bin Ali
8 Hazrat Abu Baker Bin Ali
9 Hazrat Abu Baker Bin Hasan Bin Ali,
10 Hazrat Qasim Bin Hasan Bin Ali
11 Hazrat Abdullah Bin Hassan
12 Hazrat Aun bin Abdullah Bin Jafer
13 Hazrat Mohammad Bin Abdullah bin Jafer
14 Hazrat Abdullah Bin Muslim Bin Aqeel
15 Hazrat Mohammad BIN Muslim
16 Hazrat Mohammad Bin Saeed bin Aqeel
17 Hazrat Abdul Rehman Bin Aqeel
18 Hazrat Jafer Bin Aqeel
19 Hazrat Uns Bin Hars Asadi 20 Hazrat Habib Bin Mazahir
Asadi
21 Hazrat Muslim Bin Ausaja Asadi
22 Hazrat Qais Bin Masher Asadi
23 Hazrat Abu Samama Umru Bin Abdullah
24 Hazrat Boreer Hamdani
25 Hazrat Hanala Bin Asad
26 Hazrat Abis Shakri
27 Hazrat Abdul Rehman Rahbi
28 Hazrat Saif Bin Hars
29 Hazrat Amer Bin Abdullah Hamdani
30 Hazrat Junada Bin Hars
31 Hazrat Majma BinAbdullah
32 Hazrat Nafey Bin Halal
33 Hazrat Hajjaj Bin Masrooq (Moazzin of Kafla-e-
Kerbala)
34 Hazrat Umer Bin Qarza
35 Hazrat Abdul Rehman BinAbd-e-Rub
36 Hazrat Junada Bin Kab
37 Hazrat Amer Bin Janada
38 Hazrat Naeem Bin Ajlan
39 Hazrat Saad Bin Hars
40 Hazrat Zuhair Bin Qain
41 Hazrat Salman BinMazarib 42 Hazrat Saeed Bin Umer
43 Hazrat Abdullah BinBasheer
44 Hazrat Yazid Bin Zaid Kandi
45 Hazrat Harb Bin Umr-ul-Qais
46 Hazrat Zaheer Bin Amer
47 Hazrat Basheer Bin Amer
48 Hazrat Abdullah ArwahGahffari
49 Hazrat Jhon Ghulam Abu Zar Ghaffari
50 Hazrat Abdullah Bin Ameer
51 Hazrat Abdul Aala Bin Yazeed
52 Hazrat Saleem Bin Ameer
53 Hazrat Qasim Bin Habib
54 Hazrat Zaid Bin Saleem
55 Hazrat Noman Bin Umer
56 Hazrat Yazeed BinSabeet
57 Hazrat Amir Bin Muslim
58 Hazrat Saif Bin Malik
59 Hazrat Jabir Bin Hajjaji
60 Hazrat Masood BinHajjaji
61 Hazrat Abdul Rehman Bin Masood
62 Hazrat Baker Bin Haee
63 Hazrat Ammar Bin HassanTai
64 Hazrat Zurghama Bin Malik
65 Hazrat Kanana Bin Ateeq
66 Hazrat Aqaba Bin Sult
67 Hazrat Hur Bin Yazeed Tameemi
68 Hazrat Aqaba Bin Sult
69 Hazrat Habala Bin Ali Sheebani
70 Hazrat Qanab Bin Umer
71 Hazrat Abdullah Bin yaqter
72 Hazrat Ghulam-e-Turki Ghulam of Imam-e-SAJJAD
RadiAllaho ta'ala anhoma

Sunday, November 10, 2013

Dua

Photo: Share And Tag

Admin T.H

Photo: Share And Tag

Admin T.H



Photo

Photo: Share And Tag

Admin T.H

Facts about Sallallahu Alaihi Wasallam.

Ek Martaba Huzoor Salallaho Alayhe Wasallam
Ek Taalab Ke Kinare Tashrif Farmaa The Ki
Wahan Abu Zahal Ka Beta Iqrama (Razianllaho
Anho, Aap Baad Me Musalman Ho Gaye The)
Aaya Aur Kehne Laga- Agar Aap Sache Ho To Wo
Jo Taalab Ke Dusre Kinare Par Pathhar Padaa
Hai Use Hukm Dijiye Ki Wah Paani Par Tairta Hua
Aapke Paas Pahuch Jaaye Aur Dube Nahi!
Huzoor Salallaho Alayhe Wasallam Ne Us
Pathhar Ki Taraf Ishara Farmakar Kaha Mere
Paas Aao, To Pathhar Usi Waqt Apni Jagah Se
Ukhadkar Paani Me Aa Gaya Aur Paani Par
Tairata Hua Huzoor Salallaho Alayhe Wasallam
Ki Khidmat Me Haazir Ho Gaya Aur
Ba Aawaz Buland Kalima Shareef Padhne Laga,
Huzoor Salallaho Alayhe Wasallam Ne Ikrama Se
Farmaya- Bas Ya Kuchh Aur Hai, Ikrama Ne
Kaha Ab Use Kahiye Ki Waha Wapis Apne
Muqam Par Chala Jaaye To Huzoor Salallaho
Alayhe Wasallam Ne Phir Us Pathhar Ko Irshad
Farmaya To Wah Wapis Tairta Hua Apni Jagah
Chala Gaya,
(Tafshir-E-Raazi, Zild/8, Safaa/466)
Sabak:
Hamare Huzoor Salallaho Alayhe Wasall
am Ke
Beshumar Moazzizat Me Se Aapka Ye Bhi
Moazziza Hai Ki Pathhar Ko Paani Par Taira
Diye….
SUBHAN ALLAH !!!!!





☻ ☻ GUSTAK E RASOOL ☻ ☻

Jab Ibrahim alaihissalam ko aag me dala gaya tha, aur phir jab aag KHUDA ke hukam se dheere dheere thandi ho rahi thi to girgit use apne moonh se phoonk maar kar aur jala raha tha.

jab NABI E KARIM ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭ ﺳﻠﻢ ﷺ aur Hazrate Siddiq e Akbar Radiyallahu Anhu gaar me aaram farma the (hijrat ke waqt), tou us gaar ke bahar Makdi ne jaale baand diye aur kabootar ne ande de diye,
jab kafir waha par pahuche tou unhone jaale aur ande dekh kar ye andaza lagaya ki isme koi gaya nahi hoga, agar koi andar jata tou jaale toot jate aur ande phoot jate,
ye soch kar kafir waha se jaa rahe the tou girgit un kafiro ko gardan hila kar ishara kar raha tha kiwoh dono andar hi hai.

aur tab hi girgit ki gardan me ALLAH ne azab daal diya ki woh hamesha apni gardan hilata rehta hai.

RASOOLALLAH SALLALLAHU ALAIHE WASALLAM ne GIRGIT ko maarne (qatl) karne ka hukam diya hai.

Aur dusri riwayat me hai ki jo pahle waar me maar dale use 100 naiki, dusre waar me maare use 100 se kam aur tisre waar me mare use us se bhi kam naiki milegi.




What is Love
Love is when Khadijah (radi Allahu anha) spent her entire
wealth on this Deen for the Man she loved.
Love is when the Prophet (sal Allahu Alayhi wa sallam)
took the glass that Ayesha (radiAllahu anha) drank from
and put his lips on the exact place she put her’s and then
drank.
Love is when the Prophet (sal Allahu alayhi wa sallam)
had a race with Ayesha (radi Allahu anha) and joked with
her when she lost.
Love is when Zainab (radi Allahu anha) would sacrifice
her most prized possession, her everything for her
husband.
Real Love is not based on romance, candle light dinners
and walks along the beach rather it is based On respect,
compromise, care and trust.

Maa Ka Darja



Hazrat Abu Huraira ((radiallahu anhu)) se riwayat hai ke 1 aadmi Rasool allah
((sallallahu alaihi wasallam))

ki khidmat me haazir hua aur arz kiya:

“Ya Rasool allah

((sallallahu alaihi
wasallam)) mere husne sulook
ka sab se zyada haq daar kaun hai?“
Aap 
'(sallallahu alaihi wasallam)) ne irshad farmaya:
“Teri Maa“
Is ne dobara arz kiya :
“phir kaun?“

Aap ((sallahu alaihiwasalam)) 
ne irshad farmaya:

“Teri Maa“
Is ne tisri baar arz kiya:
“phir kaun?“

Aap ((sallallahu alaihi wasallam)) ne irshad farmaya :

“Teri Maa“

Isne chawthi baar pucha :

“phir kaun?“

Aap ((sallallahu alaihi wasallam)) 
ne farmaya :
“Tera Baap“.

Saturday, November 9, 2013

ßEAUTIFUL ISLAMIC ADVISES

Zaitoon ( Oil ) Mein 76 Bimariyo Ka Elaaj Hai, ''Zam Zam'' Har Bimari Ka Elaaj Hai. " Anaar " Me Jannat K Pani Ka 1 Qtra Hota hai. Shifa Ke 2 Mazhar Hain: "Shehad " aur '' Quraan-e-Pak '' Jis Ghar Mein Khajoor Ho Who Ghar Wale Kabhi Bhooke Nahi Rahenge. AZAAN Ka 1 Jumla Sun Kar Use Dohraye Toh Us ke Nam-E- Amal Mai 2
Lakh Neikya Likh De Jati hain Or Jo koi
Dusre ko Bataye Toh Us ke "Nam-E-
Amaal Mai 01 Lakh Neikyan Likh Di Jati
hai. QAYAMAT Ke Din Toh Insan 1 Neiki ke Liye Tarsega To Is Baat Ko Sab Ko Bataye Yeh Bhi Neiki Ka Kaam Hai SUBHAN ALLAH!
Bait kar PANI Peene k Faide-
1.Gurde (kidney) Kharab nahi hote
2.Ghutne Hamesha active rehte hai
3.Reed ki Haddi Mazbut rehti hai
4.Dil k valve kabhi band nahi hote 5.Brain Kamzor nahi hota
SUBHANALLAH
Kya pyaari Sunnat hai. Is msg ko aage
badhao, Taake har Musalmaan baith kar
pani piye... Musalmaan ka ghar-JANNAT
Muslamaan ka kaam-logon ko ALLAH KI
TARAF
BULANA
Musalman ka Taaj-TOPI
Musalman ki zeenat DADHI Musalman ka identity card-SUNNAT
Musalmaan ke dost-SAHABA-AUL YA
ALLAH
Musalman ka dushman-NAFS aur
SHAITAN
Musalman ka hathiyar-WUZU,N AMAZ,DUWA
Musalman ki dawa-SUREH FATEHA
Musalman ki shaan-ALLAH KA KHAUF
Musalman ka tohfa-Maut.
Now--- ★ Baccha School na jaaye to
Maarte Hain,★ Masjid na Jaye to koi Baat
Nahin......... ★ English seekhne na jaye to
Maarte
Hain, ★ Qur'an paak na padhein to koi
baat nahi...... ★ Sikhaaya A for Apple,★
Na sikhaya A for Allah ★ Sikhaya B for Ball,★ Na
sikhaya B for Bismillah...... .. ★ Kisi Actor
ki Naqal kare to khush hote
hain,★ Nabi ki sunnat par amal kare to
Mazak udaate hain........
Ek SACHH:- "Paise Kamane
ke Liye
Itna Waaqt ,
Kharch Na Karo.!"
Ki ..,,,,,.. , "Paise Kharch
Karne ke Liye Hi
Waqt Na Mile..!! "
=SUNHERI BAAT = "DUA" Dastak Ki Tarha Hai. OR MUSALSAL Dastak Se Darwaza Khul Hi Jata Hai, "ALLAH" ne farmaya:- Ay Moosa MUJHSE Us Zabaan Se "DUA"
Mang K Jis Zabaan Se Tu Ne Koi Gunah Na
Kia Ho. MOOSA BOLEY, Ay "ALLAH" Me Wo Zabaan Kahan Se
Laun? "ALLAH" Ne Farmaya K Tum Apne Liye
"DUA" Doosron Se Krwao, Q K Tum ne Un Ki Zabaan Se Koi Gunah
Nahi Kia. = SO PLZ. PRAY 4 ME.
Kya Pata Meri Qismat Aap Ki "DUA" ka
intzaar kar rehe ho
Jab Huzur-e-pak k parda hone ka waqt
qareeb aaya to apne Hazrat izrail
(Alaihis-Salaam) se pucha k kya meri ummat ko B maut ki itni taklif bardasht
karni padegi'' to Farishte ne kaha JEE, to
apki ankh mubarak se ansu jari ho gaye
to ALLAH ne farmaya ''AE MOHAMMAD
(sallallaahu ta'aala alaihi wasallam)Apki
ummat agar har namaz k foran baad AYATUL-KURSI Padhegi to maut k waqt
uska 1 paao duniya me hoga or 1 jannat
me send 2 evry1. (agar kisi 1ne b amal
krliya to ap k liye SADQA -E-JARIA BAN
JAYEGA

Wednesday, November 6, 2013

Family Tree of Ahle Bait A.S


Family Tree of Ahle Bait A.S
The following is the Family Tree of Ahle Bait e Rasool (S.A.W.W). Which starts from Hashim and ends on Imam e Zamana a.s.

Sunday, November 3, 2013

••>>Moharram Hiqayat/Wakiya<<••

BOO E KARBALA

Ek roz Hazrat Imaam Hussain Razi Allahu Ta’ala Anhu SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WASALLAM ki god me tashrif farma rahe the. Hazrat Umme fazl bhi paas baithi thi. Umme fazl ne HUZUR SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WASALLAM ki taraf dekha ki aapki dono chashmane Mubarak se aansu beh rahe the. Umme fazl ne arz kiya YA RASOOL ALLAH! Yeh aansu kaise hai? Toh HUZUR SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WASALLAM ne farmaya ki jibrail ne mujhe khabar di hai ki mere iss bacche ko meri ummat qatl kar degi. Jibrail ne mujhe us sarzameen ki jaha yeh baccha sahid hoga surkh mitti lakar di hai.

HUZUR SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WASALLAM ne iss mitti ko sungha aur farmaya iss mitti se mujhe BOO E KARBALA aati hai phir wo mitti HUZUR SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WASALLAM ne Ummul Momineen Hazrat Umme Salma Razi Allahu Anha ko de di aur farmaya Umme Salma iss mitti ko apne paas rakho jab yeh mitti khun ban jaaye toh samajh lena mera beta sahid ho gaya.. Hazrat Umme Salma Razi Allahu Anha ne us mitti ko ek sisi me band kar liya phir jis din Hazrat Imaam Hussain Razi Allahu Ta’ala Anhu karbala me sahid huye usi roz yeh mitti band sisi me khoon ban gai.
(Mishkat Sharif Safa-564, Huzzatul Alal Aalmeen Safa-477)

Sabak : Hamare HUZUR SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WASALLAM ko apne lakhte jigar Imaam Hussain Razi Allahu Ta’ala Anhu ki sahadat ka ilm tha. Us sarzameen ka bhi jaha ye waakia hona tha. Us sarzameen ka naam bhi malum tha. Aapse koi baat chupi nahi thi. HUZUR SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WASALLAM ko yeh bhi ilm tha ki Hazrat Umme Salma Razi Allahu Anha Hazrat Imaam Hussain Razi Allahu Ta’ala Anhu ki sahadat k baad tak zinda rahegi. Jabhi toh aapne Hazrat Umme Salma se farmaya iss mitti ko apne paas rakho. Jab yeh khoon ban jaaye toh samajh lena mera beta sahid ho gaya. Bawajud iske phir bhi agar koi HUZUR SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WASALLAM k Ilm e Gaib me shak kare toh gaur kar lijiye ki wah kis qadr jaahil hai.

Islamic Facts


Musa (Moses) عَلَيْهِ السَّلاَم said to his people: "Seek help in ALLAH (سبحانه وتعالى) and be patient. Verily, the earth is ALLAH (سبحانه وتعالى)'s. He gives it as a heritage to whom He will of His slaves, and the (blessed) end is for the Muttaqun (pious).

[Qur'an, 7:128]

Da'wah ALLAH (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى)



Narrated Abu Bakr (RA): Allah’s Messenger (PBUH) said: “The sun & the moon are the two signs of Allah and they do not eclipse because of the death of someone, but Allah frightens His slaves or devotees with them.”


(Hadith No. 1048 , Book of The Eclipses, Sahih Bukhari, Vol. 2).


So, the occurrence of an eclipse is a reminder from Allah to His devotees about Qayamah; Allah frightens His slaves, awakes them by showing one of His signs.

Kaaba mein laga HAJR E ASWAD (kaala patthar) kya hai



Kaa’aba Sharif Ke Dakhhini Poorvi Konay Ki Deewar Me Chaandi Ke
Kathde Me Ek Mubarak Pathhar Jada Hua Hai Jise Badi Aqeedat Se
Chuma Jata Hai Or Usi Ke Saamne Tawaaf Ki Shuruaat Hoti Hai .Is
Mubarak Pathhar Ko HAJR E ASWAD Kaha Jata Hai . Ye Jannati Pathhar Hai Jo Hazrat Aadam Alayhissalam Ke Saath Jannat se Zameen Par Aaya.Ye Bhi Allah Ki Beshumar Nishaniyo Me Se Ek Hai .
Hazrat Abbas RadiAllaho Anho Farmate Hai – Ye Pathhar Jab Aasman Se Aaya Tha Tab Safaid Tha. Insaano Ke Gunaaho Ne Isko KaaLa Bana Dala . Kaha Jata Hai Ki HAJR E ASWAD Apne Chumne Wale Ke Gunaah
Khinch Leta Hai Isliye Ye KaaLa Ho Gaya.
Insano mein sabse pehle kaaba ki taamir Adam alyhissalam ne ki thi, uske baad tufaane nuh mein kaaba shahid ho gaya tha. Phir usi jagah par isko Hazrat Ibrahim alyhissalam ne banaya. Phir kai baar iski toshi hoti rahi.
Kuch Aalimo Ka Kehna Hai Ki HAJR E ASWAD Jannat Se Nahi
Laya GAya Tha Balki Hazrat Jibraail Alayhissalam Ise Jabl e Abu Qubais Se Laaye The . Toofan E Nooh Ke Waqt Allah Ke Huqm Se Ye Pathhar Jabl e Abu Qubais Par Mehfooz Kar Diya Tha.Phir Jab Hazrat Ibrahim Alayhissalam Ne Toofan Khatam Hone Ke Baad Kaa’aba Sharif Dobara Banana Shuru Farmaya Or Deeware Unchi Ho Gayi Tou Aapne Apne Bete Hazarat Ismail alyhissalam. Se Faramaya – Ek Pathhar Laao Taaki Tawaaf Shuru Karne Ka Ek Nishaan Bana Diya Jaaye .Usi Waqt Hazrat Jibaarail Alayhissalam Ne Ye Mubarak Pathhar Laakar Aapki Khidmat Me Paish Kiya . Aapne Use Deewar Me Feet Kar Diya .Ye Wo HAJR E ASWAD Hai Jo Tarah-Tarah Ke Halaaton Ka Saamna Karte HUve Aaj Bhi Apni Jagah Par Qaayam Hai .
Elan e Nubuvat Se Pehle Ek Baar Kaa’ba Sharif Ki Taamir Ho Rahi Thi .
Makkah Ke Bade Bade Kabile Wale IsKi Taa’amir Me Shamil The. Deewar Unchi Ho Gayi Tou HAJR E ASWAD Feet Karne Ka Number Aaya. Har Kabile Ka Sardar Yahi Chahta Tha Ke Ye Ejaj Hame Mile . Baat Badh Gayi, Jung Ki Noubat Aa Gayi . Kaafi Behas Ke Baad Yeh Tay Paaya KI Kal subah Sabse Pehle Jo Haram Sharif Me Aayega Wohi HAJR E ASWAD Deewar Me Lagayega. Allah ki marzi se Sabse Pehle Aamina Ke Laal Hazrat Muhammad Mustafa Sallalaho Ta’ala Alayhi Wasallam Haram Sharif Me subah sabse pehle Pahunche. Aapne yaha hikmat se kaam lete hue Sab Ko Jama Farmaya . HAJR E ASWAD Ko Ek Chadar Me Rakhwa Kar Farmaya – Sabhi Kabile Ke Saradar ek-ek kona pakad le aur isko Upar Uthaye .Chunanhe Jab Pathhar Upar Pahuncha Tou Aapne Chadar Me se Isko Uthakar apne mubarak haatho ise Deewar Me Laga Diya .
Hazarat Abdullah Bin Umar (radiallahu anhu) Farmate hai – Allah Ke Rasool (sallalahu alyhiwasallam) Ne faramaya – HAJR E ASWAD Or
Makaam e Ibaahim Yeh Dono Pathhar Jannat Ke Yakoor (keemti Pathhar) Hai. Allah Ne Agar Inka Noor Bujhaya Na Hota Tou Poorab Pashchim Sab Jagmaga Uth te .
Taarikh Se Ye BHi Pata Chalata Hai Ki Hazrat Ibrahim Alaihissalam Ne HAJR E ASWAD Deewar Me Lagaya Tou Aas Paas Ka Elaaka Noor Se Jagamaga Utha.Jaha Tak Uski Roshni Pahunchi , Allah Ne Us Elaake Ko
Haram (Masjide haram) Qarar De diya .
HAJR E ASWAD ki Khasiyat Ye Hai Ke Aag Paani Ka Is Par Koi Asar Nahi
Hota . Ye Paani Me Doobta Nahi Balki Lakadi Ki Tarah Tairta Rehta
Hai .
Ye Bada Mubarak Pathhar Hai Ise Chuoomna Sunnat Hai .Hajj Or
Umra Ke Douramn Mouka Mil Jaaye Tou Ise Choomne Ki Koshish
Jarur Karni Chahiye. lekin Aurat tab hi jaaye jab bheed na ho, jab bheed ho to door se hi ishare se bosa de le. Hazarat Umar radiallahu anhu Jab Ise Bousa Dete Tou Farmate – HAJR E ASWAD ! Tu Ek
Pathhar Hai . Koi Nafa Nuksaan Pahunchane Ki Salahiyat Nahi Rakhta . Main Tujhe Isliye Bousa De Raha HU Kyunke Maine Apne Pyaare NAbi Ko Bousa Dete HUve Dekha.
Time ke saath-saath yeh patthar toot kar kuch tukdo mein bat gaya hai, lekin isko wapas diwar par chipka diya gaya hai. Iski safety ke liye chaandi ka cover chaday gaya hai. Iske saamne khade hokar Allah se jo jaiz dua mangoge, Allah zaroor puri karega. InshaAllah

Importance of Namaz

Guzar gayi Namaz-e Fajar
aur tu sota raha,
Qeemti waqt ko khwabon
mein khota raha
.
Subha namodaar huyi par tu bedaar na hua,
Umar bhar so ker bhi tu
bezaar na hua
.
Aayi Zuhar to tujhe kaam
ne uljha diya, Be Namazi bana kar kitna
tujhe phansa diya
.
Milega Rizq tujhe Namaz ke
baad bhi,
Palega tera ghar Namaz ke baad bhi
.
Dekh aa gayi Namaz-e Asar
tawaani le kar,
Quwwat hai is me tu ise
ada kar . Tandrust hai aaj tu ye
Shukr ada kar,
Badan ko apne Sajdon ki
Lazzat diya kar
. Chal diya Aftab ab Ghuroob
hone ko, .
Namaz-e Maghrib hai ab
shuru hone ko
.
Khatam ho gaya teri Zindagi ka Ek
aur din, Chala gaya ye bhi haath.
tere Nekiyon bin
.
Ab tujhe chaahiye Raahat
sone se pehle,
. Isha padh le apni Zindagi
khone se pehle
.
Paayega Sukoon tu ALLAH
ke zikr me hi,
Milega Qaraar tere dil ko isi fikr me hi..!"
"NAMAZ KAYAM KARO"
Is se pehle ki tumhari namaz
padhe jaye.

Friday, November 1, 2013

Allah's Rah Mai

Jis din buhat ziyada germi hoti hai to Allah pak farishton ko zameen per bhejte hai k dekho log kya keh rahe hain, ager us germi mein koi yeh kahe k “La Ilaha Illallah, ai Allah! Is germi k muqablay mein mujhe jahannum ki germi se bacha” to Allah pak farishton ko gawah bana ker us shaks ko jahannum se bakhsh dete hain.
Sab se iltija hai k germi ko bura kehne k bajai aik dafa yeh kalmat bhi apni zaban se ada kerien, Jazak Allah



"Sote waqt waju ki fazilat"
.
1. Wazoo kar k sone wale ki
rooh"BAITULLAH" ka tawaf karti hai..
.
2. Farishte saari raat nekiyan likhte hain..
.
3. Jab karwat Badalta hai to Frishte Bakhshish k liye Dua karte rahete hain.
.
Agar"Insaan"24 Ghante me 8 Ghante sota hai
to Matlab 1 din Me 1/3 time Sota hai..
.
Agar Insaan 60 Saal Zinda rehta hai,, To wo 20
Saal sota hai...
Agar hum Sone se pahele"wuzu"kar len aur Sone ki"DUA"Pad k soye to Hamara sona bhi
"Ebadat"me likha jaega..
.
Matlab hume 60 saal ki zindagi me 20 Saal Ki"Ebadat"ka"Sawab"bhi mil Sakta hai...
.
Aur agar aap ye baat Kisi dusre ko Bata denge
to us k aamal se bhi aapko"ajar"mile ga.

We Are Muslims
Good and bad deed

Bismillah, an act of kindness goes a long way. If you have done a bad deed the Prophet (salla Allahu alihi wa sallam) said follow it up with a good deed.



HELLO Nahi...
Assalamu'Alaikum
THANK Nahi
Jazak ALLAH
Bye TakeCare Nahi
Fee Aman ALLAH
GREAT Nahi
Masha ALLAH
OK/ZAROR Nahi
IN SHA ALLAH
I AM FINE Nahi
ALHAMDULILLAH
ZABARDST Nahi
SUBHANALLAH
Hazrat ali (A.S) ne farmaya...
Mohtaji aur garibi 7 chizo se aati hai.
Jaldi jaldi namaz padhne se.
Khade ho kar pani piney se.
Muh se charaag bujhane se.
Aastin ya daman se muh saaf karne se.
Asar ke baad ghar me jhadu dene se.
Daanto se nakhun todne se.
Fajr ki namaz ke baad fauran sone se.
Only sunni muslim plz join share this group



Bismillahir Rahmanir Raheem, Ibn al-Qayyim (rahimahullaah) said:-

Looking{!} is the Origin of most of the problems that befall man~
because looking generates thoughts,
then thoughts generate ideas,
and ideas generate desires,
and desires generate will,
which then becomes stronger and becomes firm resolve ~
in which case the deed will
inevitably be done~

Unless !!!
there is something to prevent it.

Hence it was said that:-

Patience in Lowering the Gaze is easier
than .... ???

Patience in bearing the~ PAIN...!
that comes Afterwards.”




SubhanAllaah how true are his words...while we live in a world of temptation, we must learn to control ourselves and do what is right and stay away from what Allaah (Subhana wa Tala) has told us to stay away from...Islaam is so beautiful, should we follow His guidance we would have no issues...the only time we have issues is when we do not follow His rules...

Jab Janaza Tayyar Ho Jaata Hai
Log Use Kandhe Par Uthate Hai
Agar Wah Accha Hai Toh Kahta Hai Mujhe
Jald Le Chalo
Agar Bura Hai
Toh Kehta Hai Mujhko Tum Kaha Liye Ja
Rahe Ho,
Iski Aawaz Ko Siwa Insaano Ke Sab Sunte
Hai Agar Insaan Sun Le Toh Behosh Ho
Jaaye.