Sunday, November 3, 2013

••>>Moharram Hiqayat/Wakiya<<••

BOO E KARBALA

Ek roz Hazrat Imaam Hussain Razi Allahu Ta’ala Anhu SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WASALLAM ki god me tashrif farma rahe the. Hazrat Umme fazl bhi paas baithi thi. Umme fazl ne HUZUR SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WASALLAM ki taraf dekha ki aapki dono chashmane Mubarak se aansu beh rahe the. Umme fazl ne arz kiya YA RASOOL ALLAH! Yeh aansu kaise hai? Toh HUZUR SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WASALLAM ne farmaya ki jibrail ne mujhe khabar di hai ki mere iss bacche ko meri ummat qatl kar degi. Jibrail ne mujhe us sarzameen ki jaha yeh baccha sahid hoga surkh mitti lakar di hai.

HUZUR SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WASALLAM ne iss mitti ko sungha aur farmaya iss mitti se mujhe BOO E KARBALA aati hai phir wo mitti HUZUR SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WASALLAM ne Ummul Momineen Hazrat Umme Salma Razi Allahu Anha ko de di aur farmaya Umme Salma iss mitti ko apne paas rakho jab yeh mitti khun ban jaaye toh samajh lena mera beta sahid ho gaya.. Hazrat Umme Salma Razi Allahu Anha ne us mitti ko ek sisi me band kar liya phir jis din Hazrat Imaam Hussain Razi Allahu Ta’ala Anhu karbala me sahid huye usi roz yeh mitti band sisi me khoon ban gai.
(Mishkat Sharif Safa-564, Huzzatul Alal Aalmeen Safa-477)

Sabak : Hamare HUZUR SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WASALLAM ko apne lakhte jigar Imaam Hussain Razi Allahu Ta’ala Anhu ki sahadat ka ilm tha. Us sarzameen ka bhi jaha ye waakia hona tha. Us sarzameen ka naam bhi malum tha. Aapse koi baat chupi nahi thi. HUZUR SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WASALLAM ko yeh bhi ilm tha ki Hazrat Umme Salma Razi Allahu Anha Hazrat Imaam Hussain Razi Allahu Ta’ala Anhu ki sahadat k baad tak zinda rahegi. Jabhi toh aapne Hazrat Umme Salma se farmaya iss mitti ko apne paas rakho. Jab yeh khoon ban jaaye toh samajh lena mera beta sahid ho gaya. Bawajud iske phir bhi agar koi HUZUR SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WASALLAM k Ilm e Gaib me shak kare toh gaur kar lijiye ki wah kis qadr jaahil hai.

Islamic Facts


Musa (Moses) عَلَيْهِ السَّلاَم said to his people: "Seek help in ALLAH (سبحانه وتعالى) and be patient. Verily, the earth is ALLAH (سبحانه وتعالى)'s. He gives it as a heritage to whom He will of His slaves, and the (blessed) end is for the Muttaqun (pious).

[Qur'an, 7:128]

Da'wah ALLAH (سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى)



Narrated Abu Bakr (RA): Allah’s Messenger (PBUH) said: “The sun & the moon are the two signs of Allah and they do not eclipse because of the death of someone, but Allah frightens His slaves or devotees with them.”


(Hadith No. 1048 , Book of The Eclipses, Sahih Bukhari, Vol. 2).


So, the occurrence of an eclipse is a reminder from Allah to His devotees about Qayamah; Allah frightens His slaves, awakes them by showing one of His signs.

Kaaba mein laga HAJR E ASWAD (kaala patthar) kya hai



Kaa’aba Sharif Ke Dakhhini Poorvi Konay Ki Deewar Me Chaandi Ke
Kathde Me Ek Mubarak Pathhar Jada Hua Hai Jise Badi Aqeedat Se
Chuma Jata Hai Or Usi Ke Saamne Tawaaf Ki Shuruaat Hoti Hai .Is
Mubarak Pathhar Ko HAJR E ASWAD Kaha Jata Hai . Ye Jannati Pathhar Hai Jo Hazrat Aadam Alayhissalam Ke Saath Jannat se Zameen Par Aaya.Ye Bhi Allah Ki Beshumar Nishaniyo Me Se Ek Hai .
Hazrat Abbas RadiAllaho Anho Farmate Hai – Ye Pathhar Jab Aasman Se Aaya Tha Tab Safaid Tha. Insaano Ke Gunaaho Ne Isko KaaLa Bana Dala . Kaha Jata Hai Ki HAJR E ASWAD Apne Chumne Wale Ke Gunaah
Khinch Leta Hai Isliye Ye KaaLa Ho Gaya.
Insano mein sabse pehle kaaba ki taamir Adam alyhissalam ne ki thi, uske baad tufaane nuh mein kaaba shahid ho gaya tha. Phir usi jagah par isko Hazrat Ibrahim alyhissalam ne banaya. Phir kai baar iski toshi hoti rahi.
Kuch Aalimo Ka Kehna Hai Ki HAJR E ASWAD Jannat Se Nahi
Laya GAya Tha Balki Hazrat Jibraail Alayhissalam Ise Jabl e Abu Qubais Se Laaye The . Toofan E Nooh Ke Waqt Allah Ke Huqm Se Ye Pathhar Jabl e Abu Qubais Par Mehfooz Kar Diya Tha.Phir Jab Hazrat Ibrahim Alayhissalam Ne Toofan Khatam Hone Ke Baad Kaa’aba Sharif Dobara Banana Shuru Farmaya Or Deeware Unchi Ho Gayi Tou Aapne Apne Bete Hazarat Ismail alyhissalam. Se Faramaya – Ek Pathhar Laao Taaki Tawaaf Shuru Karne Ka Ek Nishaan Bana Diya Jaaye .Usi Waqt Hazrat Jibaarail Alayhissalam Ne Ye Mubarak Pathhar Laakar Aapki Khidmat Me Paish Kiya . Aapne Use Deewar Me Feet Kar Diya .Ye Wo HAJR E ASWAD Hai Jo Tarah-Tarah Ke Halaaton Ka Saamna Karte HUve Aaj Bhi Apni Jagah Par Qaayam Hai .
Elan e Nubuvat Se Pehle Ek Baar Kaa’ba Sharif Ki Taamir Ho Rahi Thi .
Makkah Ke Bade Bade Kabile Wale IsKi Taa’amir Me Shamil The. Deewar Unchi Ho Gayi Tou HAJR E ASWAD Feet Karne Ka Number Aaya. Har Kabile Ka Sardar Yahi Chahta Tha Ke Ye Ejaj Hame Mile . Baat Badh Gayi, Jung Ki Noubat Aa Gayi . Kaafi Behas Ke Baad Yeh Tay Paaya KI Kal subah Sabse Pehle Jo Haram Sharif Me Aayega Wohi HAJR E ASWAD Deewar Me Lagayega. Allah ki marzi se Sabse Pehle Aamina Ke Laal Hazrat Muhammad Mustafa Sallalaho Ta’ala Alayhi Wasallam Haram Sharif Me subah sabse pehle Pahunche. Aapne yaha hikmat se kaam lete hue Sab Ko Jama Farmaya . HAJR E ASWAD Ko Ek Chadar Me Rakhwa Kar Farmaya – Sabhi Kabile Ke Saradar ek-ek kona pakad le aur isko Upar Uthaye .Chunanhe Jab Pathhar Upar Pahuncha Tou Aapne Chadar Me se Isko Uthakar apne mubarak haatho ise Deewar Me Laga Diya .
Hazarat Abdullah Bin Umar (radiallahu anhu) Farmate hai – Allah Ke Rasool (sallalahu alyhiwasallam) Ne faramaya – HAJR E ASWAD Or
Makaam e Ibaahim Yeh Dono Pathhar Jannat Ke Yakoor (keemti Pathhar) Hai. Allah Ne Agar Inka Noor Bujhaya Na Hota Tou Poorab Pashchim Sab Jagmaga Uth te .
Taarikh Se Ye BHi Pata Chalata Hai Ki Hazrat Ibrahim Alaihissalam Ne HAJR E ASWAD Deewar Me Lagaya Tou Aas Paas Ka Elaaka Noor Se Jagamaga Utha.Jaha Tak Uski Roshni Pahunchi , Allah Ne Us Elaake Ko
Haram (Masjide haram) Qarar De diya .
HAJR E ASWAD ki Khasiyat Ye Hai Ke Aag Paani Ka Is Par Koi Asar Nahi
Hota . Ye Paani Me Doobta Nahi Balki Lakadi Ki Tarah Tairta Rehta
Hai .
Ye Bada Mubarak Pathhar Hai Ise Chuoomna Sunnat Hai .Hajj Or
Umra Ke Douramn Mouka Mil Jaaye Tou Ise Choomne Ki Koshish
Jarur Karni Chahiye. lekin Aurat tab hi jaaye jab bheed na ho, jab bheed ho to door se hi ishare se bosa de le. Hazarat Umar radiallahu anhu Jab Ise Bousa Dete Tou Farmate – HAJR E ASWAD ! Tu Ek
Pathhar Hai . Koi Nafa Nuksaan Pahunchane Ki Salahiyat Nahi Rakhta . Main Tujhe Isliye Bousa De Raha HU Kyunke Maine Apne Pyaare NAbi Ko Bousa Dete HUve Dekha.
Time ke saath-saath yeh patthar toot kar kuch tukdo mein bat gaya hai, lekin isko wapas diwar par chipka diya gaya hai. Iski safety ke liye chaandi ka cover chaday gaya hai. Iske saamne khade hokar Allah se jo jaiz dua mangoge, Allah zaroor puri karega. InshaAllah

Importance of Namaz

Guzar gayi Namaz-e Fajar
aur tu sota raha,
Qeemti waqt ko khwabon
mein khota raha
.
Subha namodaar huyi par tu bedaar na hua,
Umar bhar so ker bhi tu
bezaar na hua
.
Aayi Zuhar to tujhe kaam
ne uljha diya, Be Namazi bana kar kitna
tujhe phansa diya
.
Milega Rizq tujhe Namaz ke
baad bhi,
Palega tera ghar Namaz ke baad bhi
.
Dekh aa gayi Namaz-e Asar
tawaani le kar,
Quwwat hai is me tu ise
ada kar . Tandrust hai aaj tu ye
Shukr ada kar,
Badan ko apne Sajdon ki
Lazzat diya kar
. Chal diya Aftab ab Ghuroob
hone ko, .
Namaz-e Maghrib hai ab
shuru hone ko
.
Khatam ho gaya teri Zindagi ka Ek
aur din, Chala gaya ye bhi haath.
tere Nekiyon bin
.
Ab tujhe chaahiye Raahat
sone se pehle,
. Isha padh le apni Zindagi
khone se pehle
.
Paayega Sukoon tu ALLAH
ke zikr me hi,
Milega Qaraar tere dil ko isi fikr me hi..!"
"NAMAZ KAYAM KARO"
Is se pehle ki tumhari namaz
padhe jaye.