Thursday, October 31, 2013

ALLAH KAUN HAI (WHO IS ALLAH)

ALLAH KAUN HAI (WHO IS ALLAH)
-----------------------------------------------
Allah wo hai jisne is puri duniya ko banaya, chaand, taare, suraj, aasman banaya, yeh sab cheeze Allah ne bagher kisi raw material ke banai (yaani agar kisi ko pencil banana hai to uske liye lakdi lagegi) lekin Allah ne sirf hukm diya aur cheez ban gai, phir is duniya mein insano ko paida kiya, insano ko apni ibadat ke liye banaya aur duniya ki saari cheeze insan ke liye jese hawa, paani, trees, animal banae. 
Har kaam Allah ke hukm se hota hai, jese hawa ka chalna, paani ka girna etc. Allah hamare dil ki baat bhi jaanta hai, hum kya karne wale hain, kya kar chuke hain aur kya karenge, yeh Allah ko maloom hai. 
Uska roop insano jesa nahi hai. Allah ek noor (light/prakash) hai, Wo hamesha se tha aur hamesha rahega. Allah kisi se paida nahi hua, yaani wo kisi ki aulad nahi, wo khud se hai aur na uski koi aulad hai (kyonke ye system to usne insano/jaanwaro ke liye banaya hai taake unki duniya quantity badh sake).
Allah ko bhook nahi lagti, neend nahi aati, wo thakta (tired) nahi, wo bezar (oobta) nahi (kyonke ye sab baate usne insano ke liye banai hai) isliye ye saari baate insano mein hoti hai. Jo so jaae, jo thak jaae, jisko bhook lag jaae wo God nahi ho sakta.

Allah bahut naram dil (dayawan) hai, bahut maaf karne wala hai. Uski jitni taarik ki jaae wo kam hai. Allah quran mein insano ko challenge karta hai ke duniya ke saare trees ko pen bana lo, saare samandar (sea) ko ink bana lo aur duniya ke saare insan mil jao aur meri taarif (praise) likhna chaho tumhare pen khatam ho jayege, ink khatam ho jayegi, insan khatam ho jayege lekin meri taarif (prashansa) puri na ho paegi.

Allah kehta hai ki mein kya hu, kesa hu is baare mein dimag mat lagaya karo, kyonke tum soch hi nahi sakte, kyonke tum sirf utna soch sakte ho jitna tumko mene samajh diya hai, uske aage tum nahi soch sakte. Agar mujhe samajhna chahte ho to meri banai hui cheeze dekha karo, jese ek makkhi (fly) ko dekho jisko mene banaya hai, uske par ko dekho ki mene kese banaya hai, Kyonke tum saare insan mil kar bhi ek makkhi ke par jesa (jesa ka tesa) dusra par nahi bana sakte. Ek anar (Pomegranate) ka daana nahi bana sakte. Aasman, suraj, chaand sitaro ko dekho jinko mene banaya hai, to tum meri greatness ko thoda samajh paoge.



Prophet Mohammad's History and his Nature...
us shaks ne apne walid Ko paide hone se pehle
Khodiya
us shaks ne choti se Umar me apni Maa ko
Khodiya
us shaks ko apna Ghar se Nikal diya Gaya
us shaks ne Tauheed ke jhande lehraye
Us shaks ne ALLAH ke deen ko Zinda kiya
us shaks ko Maara aur peeta gaya
us shaks ko Galiya Di Gayi thi
us shaks Ne Apna sab kuch luta Diya
Us shaks par kachra pheka gaya
Us shaks par Patthar barsaye Gaye
Magar unhone hamesha ALLAH ka shukar Kiya
Unhone Kabhi ALLAH se shikayat Nahi ki
Unhone Ummat ke liye Beinteha Ansu Bahaye
WO shaks Koi Aur Nahi Balke khud Pyare Aqa
Mohammad (sallallaho Alayhawasallam) hai,Jo puri
Insaniyat ke liye Rehmat hai.

Thursday, October 24, 2013

Dua

,,"ALLAHU HAFIZUN LATIFUN QADIMUN AZLIYUN HAYYUN QAYYUMUN LAAYAMANU."

Wednesday, October 16, 2013

HAZRAT LUQMAAN ne Apne Bete Ko Naseehat Farmai

HAZRAT LUQMAAN ne Apne Bete Ko
Naseehat Farmai K Beta :-
:
Main ne 4 Nabiyon Ki Khidmat Ki hai, aOr 6
cheezain seekhi hain.

:
1- Ibadat K Waqt Apne Dil Ko Qabu me
Rakho.
:
2- Jb Dastar Khuwan Pr Betho To Apne Pait
Ko Qabu me Rakho.
:
3- Kisi K Garr Jao To Apni Aankhon Ko
Qabu me Rakho.
:
4- Kisi Mehfil me Betho To Apni Zuban ko
Qabu me Rakho.
:
5- ALLAH aor Mout Ko Hmesha Yaad
Rakho.
:
6- Apni Nekiyon aor Doosron Ki Buraiyon
Ko Bhula do.

Monday, October 7, 2013

IMPORTANCE OF DUROOD SHERIF

Dhikr, Durood, The Prophet MuHammad's said (صلى الله عليه وسلم). 1000 days durood, 80 times on friday, durood, durood after asr on friday, durood ibrahim, durood on fridays, durood sharif, importance of durood, reading durood, sending durood, short durood, virtues of durood.

Make Your Friday Beautiful

Rasoolullaah (صلى الله عليه وسلم) said:
Recite Durood on me in abundance on Fridays, for Durood is presented to me (on Fridays).
(Abu Dawood, Nisai, Ibni Majah and Ibni Hibban)

Ibn Mas’ood (RA) reported:
The Messenger of Allaah صلى الله عليه وسلم said:
“The people who will be nearest to me on the Day of Resurrection will be those who supplicate Allaah more often for me.”
[At-Tirmidhi, Hasan li ghayrihi Al-Albani]

Rasoolullaah (صلى الله عليه وسلم) said :
Recite Durood on me in abundance for it is a purifier for you
(Abu Ya’la Musali)

Rasoolullaah (صلى الله عليه وسلم) said :
When I am mentioned in the presence of someone, he should recite Durood on me….
(Nisai, Tibrani, Abu Ya’la, Ahmad)

Rasoolullaah (صلى الله عليه وسلم) said :
“Whoever speaks of me should recite Durood on me”
(Abu Ya’la Musali)

Rasoolullaah (صلى الله عليه وسلم) said :
“Continue reciting Durood on me. Your Durood reaches me from where ever you are”
(Nasai)

Rasoolullaah (صلى الله عليه وسلم) said :
“A great miser is he in whose presence I am mentioned and he refrains from reciting Durood on me.”
(Tirmidhi, Ibni Hibban, Mustadrak)




Darood e Noor


Allahumma Salli Ala Sayyidina Muhammadin 

Nuril Anwaari Wa Sirril Asraari Wa Sayyidil 

Abraar.

"O Allah! Shower Thy blessings on our Hazrat Muhammad 
Sallal Laahu Ta’ala Alayhi Wa Sallam who is light, actual light and mystery amongst the mysteries, and the leader of excellents".


Dua after Durood E Ibraheem

Saturday, October 5, 2013

Supplication for Paying off Debt.

Suraho ki Fazilat....

Surat Fatiha Allah k ghazab se bachati hay,
Surah Yaseen Qayamat k din piyaas se,
Surah Waaqia fiker or faaqay se,
Surah Mulk Azaab-e-Qabar se,
Surah Kausar dusmunon ki dushmani se,

Surah kaaferoun mout k waqt kuffar se,
Surah ikhlas munaafiqat se,
Surah Falak Hadson se,
Soorah Naas wuswasoun se bachati hain
Ye bahot kheemti malumat hai,Lihaza Dusro
ko bhi forward kare.
JazakAllah


A brief Description of Hajj.




"There is no reward for an accepted hajj (mabroor) except Paradise." [Bukhari & Muslim] May Allah enable us all to perform this glorious duty, Aameen. www.QuranExplorer.com






Thursday, October 3, 2013

Namaz Na Padhne Ka Gunah

Be-namazi ko qabar mein kuch saza di jaati hai jinme se kuch ye hain
1) us ki kabar ko itna chhota kar diya jaaega ke usku pasliyaan ek dusre par chadh jayengi.

2)us ki kabar mein aag bhadka di jayegi phir wo aag ke angaro me lotta rahega,
,
3) kabar mein us par ek saanp jiska naam 'ash-shujaul-akraha' hai tenaat kar diya jayega. us saanp ki aakhe aag ki hongi aur nakhoon lohe ke, jiski lambai ek mahine ke safar ke barabar hogi. jab bhi wo be namazi ko marega to wo 70 haat tak zamin me dhas jayega aur be-namazi par qayamat tak is tarah ka azab hota rahega.

ya ALLAH hume panchoo waqt ka nemazii bana ...
AAMEEN YA RABBUL ALAMEEN

Tuesday, October 1, 2013

Must Read!!! The Love of our Nabi for us...

Mohabbat Kya Hai?
====­=====
Mene Pucha
Zindgi Se
Jwani Se
Suraj Se Phulon Se Kainat Se
Asman Se
Zameen Se
Dost Se
Lekin koi dil ko tsalli dene wala Jwab
Na Mila Phir Tareekh (history) Hath Pkad Kar
Peeche Le Gayi
Bohat Peeche
1400 saal Peeche
Raat ho rahi Thi Taray Bhi So Chuke The
Ek AZEEM hasti Sajde Me Jhuki
Geeli Ankho Ke Saath
Sawali Ban Ke Ek Hi baat Dohra Rahi
Thi""Ya ALLAH meri UMMAT ko bakhsh
de"
"Ya ALLAH meri UMMAT ko bakhsh de""Ya ALLAH meri UMMAT ko bakhsh de" Dil-o-Dimagh Ne Jhin jhod Kr Kaha
Aye Nadan Insan! Dekh ye Hai
"MOHABBAT.!"Dekh yeh hai
MOHABBAT...
"Mere Pyare Nabi ki hamare liye!
wo raat 2 bhr bargahe elahi me hum gunhgaro ke liye duae karna, pairo me soojan aa jati thi,ashqo se pura muslla bhar jata tha or bas yahi kehte 'Ya Allah Meri ummt Ko Bakash de 2. Nisar sab kuch aese aaqa par jo hum gunhgaro ke duniya me na aane se pehle humari magfirat ro ro kar Allah se talab kar rahe the .beshaq koi aap jesa nahi.
koi nahi.
mere dosto aesi azim shakhsiyat per plz ek bar dili aqidat w muhabbat se darood sharif padhe

Hazrat ALI (RadiAllah Anhu) ki kuch

sunhari batein,
.
.
1.Apne Dushman Ko 1000
Dafa
Moqa Do Ki Wo Tumhara
Dost
Ban Jaaye,
Per Apne Dost Ko 1 Bhi
Moqa Na
Do Ki Wo Tumhara Dushman
Bane.
.
.
"Bura Dost 'Koyle' Ki Tarah Hota Hai"
"Agr Jalta Hoga Tuo Apko Jala
Dega"
"Or Agr Bujha Hoga Tuo Aap Ke
Hath Kale Kar Dega"
.
.
3.Ager kisi ka zaraf(character) azmana
ho tuo,
usko zyada izzat do,agar
Wo aala zaraf(acha) hua tuo aap ko
or
izzat dega
or kam zaraf hua to khud
ko
AALA ZARAF sumjhey ga.
.
.
4.Tumhare 3 Dost Hain
1. Tumhara Dost
2. Tumhara Dost ka Dost
3. Tumhara Dushman Ka
Dushman
.
Tumhare 3 Dushman Hain
1.Tumhara Dushman
2.Tumhara Dushman Ka
Dost
3.Tumhara Dost Ka
Dushman
.
.
5.Ghareeb Woh Hai Jiska Koyi
Dost Naho,aur
Sabse Bada Gunah Woh Hai
Jo
Karne Walay Ki Naazar Mein
Chota ho.
.
.
6.Insaan Bhi Kitna Ajeeb Hai,
Jab Kisi Cheez Se Darta Hai
Tou
Us Say Dour Bhagta Hai.Aur
Jab ALLAH Say Darta Hai Tou
Us
Ke Aur Qareeb Ho Jata Hai.
.
.
7. 3 Insan 3 Cheezon Say
Mehroom Rahenge.
1.Ghusaay Waala Durust
Faislay
Say.
2.Jhoota Izzat Say
3.Jald Baaz Kamyaabi Say.

Month of Islamix Calendar

1 - Muhrram, 2 - Safar
3 - Rabiul awwal, 4 - Rabiul aakhar
5 - Jmadiul awwal, 6 - Jmadiul aakhar
7 - Rajab , 8 - Shaban
9 - Ramzan, 10- Shawwal
11- Zil qad 12- Zil hajj

Gour karein!

1) Saal ka akhri mahina bhi Qurbani, Pehla bhi Qurbani.
2) Woh bhi 10 ko, ye bhi 10 ko.
3) Un pe bhi Darood, in pe bhi Darood.
4) Woh bhi Nabi ka laal, ye bhi Nabi ka laal
5) Un ki yaad bhi manate hein, in ki yaad bhi manate hein.
6) Woh Zabh-e-Azeem, ye Shaheed-e-Azeem
7.) Unhon ne Khawab nibhaya, in honne Wada-e-Tifle nibahya
 Woh sabr ki Ibteda, ye sabr ki Inteha
9) Woh KAABA ke banane wale, ye KAABA ko bachane wale.