Saturday, July 13, 2013

Very Important!

1.Kisi ko DUKH dene wala kabhi KHUSH nahi reh sakta.
Hazrat Abu Bakar Siddiq رضي الله عنه 

2.Kisi ki be-basi pe mat hanso kal ye waqt tum par bhi aaskta ha.
Hazrat Umar Farooq رضي الله عنه 
...
3.Kisi ki Aankh tumhari wajah se 
num na ho Kyun ke Tumhe uss
ke har Aansu ka QARZ chukana hoga.
Hazrat Usman Ghani رضي الله عنه 

4.Mazloom aur Namaazi ki AAH se daro Kyun ke
AAH kisi ki bhi ho ARSH ko cheer kar اللّه ke paas jati hai.
Hazrat Ali رضي الله عنه

Hazrat Abu Bakar رضي الله عنه Said:
"Us Din Pe Ansu Bahao Jo Tum Ne Naiki K Bina Guzara Ho."

Hazrat Umer رضي الله عنه Said:
"Zalimo Ko Muaf Kerna Mazloomon Pe Zulm Hai."

Hazrat Usman Ghani رضي الله عنه Said:
"Zuban Darust Ho Jaye To Dil Bhi Darust Ho Jata Hai."

Hazrat Ali رضي الله عنه. Said:
"Jahan Tak Ho Sakay LaLach Se Bacho,LaLach Mei Zilat He Zilat Hai.

Dusron ko iss tarah MAAF karo
jis tarah اللّه tumhe MAAF karta hai.....
Hadees:
Jo shakhs kuch b khane pine k bad ALHAMDULILLAH Keh Kar 1 MARTABA SUREH-Iqhlas Yani Qulhuwallahu ahad padhega uske Ghar me Rizq ki kushadgi hogi or us ghar me kabhi faaqa na hoga
Aur jb tk wo khana uske pet me mojud rahega.
Us khane ka 1-1 dana ALLAH ka zikr karta rahega jiski barkat Se uska chehra munawar rahega.
Hadees: woh shaqs aabaad rahega jo Hadees sunkar dusro tak pahunchae.. Dua main yad rakhiye
Jab tum apne sukoon me kami mehsoos karo to apne RAB se tauba karo,h
Kyun k yeh INSAAN k GUNAAH hi hai jo DIL ko bechen rakhte hai....
Jindagi Aisi Na Jeeyo ki Log... FARIYAAD Kare. Balki Aisi Jeeyo ki Log... FIR-YAAD Kare..plz muj nachiz ko aap ki Duao me shamil rakhna...Dua for all muslim...
Zindagi main do Logon ka bohat kheyal rakhna
1:Woh jisne tumhari jeet ke liye apna sab kuch haar diya (Baap)
2 :Woh jiski Duaon se tum sab kuch Jeet gaye (Maa)....
HAZRAT MOHAMMED SALLALLAAHU ALAIHIWASSALAM ne farmaya:

4 Cheezen aapko pareshan aur bimar karti hai:

1: Zyada baate karna

2: Zyada sona

3: Zyada Khana

4: Zyada logo se milna-julna

4 Cheezen aapko khatm karti hai:

1: Tension

2: Gum

3: Bhook

4: Der se Sona

Aap Sallallaahu Alaihiwasallam ne irshad farmaya:

Jab Azaan di jaye to har kaam chod do, yaha tak k Quran padhna bhi,

Jo shakhs Azaan k darmiyan baat karta hai to maut k waqt use Kalma Naseeb nai hoga

Is sms ko 1 dost ko zarur bhejna,

Kyuki Achchi baat batana bhi SADKA hai....

No comments: