Tuesday, October 1, 2013

Hazrat ALI (RadiAllah Anhu) ki kuch

sunhari batein,
.
.
1.Apne Dushman Ko 1000
Dafa
Moqa Do Ki Wo Tumhara
Dost
Ban Jaaye,
Per Apne Dost Ko 1 Bhi
Moqa Na
Do Ki Wo Tumhara Dushman
Bane.
.
.
"Bura Dost 'Koyle' Ki Tarah Hota Hai"
"Agr Jalta Hoga Tuo Apko Jala
Dega"
"Or Agr Bujha Hoga Tuo Aap Ke
Hath Kale Kar Dega"
.
.
3.Ager kisi ka zaraf(character) azmana
ho tuo,
usko zyada izzat do,agar
Wo aala zaraf(acha) hua tuo aap ko
or
izzat dega
or kam zaraf hua to khud
ko
AALA ZARAF sumjhey ga.
.
.
4.Tumhare 3 Dost Hain
1. Tumhara Dost
2. Tumhara Dost ka Dost
3. Tumhara Dushman Ka
Dushman
.
Tumhare 3 Dushman Hain
1.Tumhara Dushman
2.Tumhara Dushman Ka
Dost
3.Tumhara Dost Ka
Dushman
.
.
5.Ghareeb Woh Hai Jiska Koyi
Dost Naho,aur
Sabse Bada Gunah Woh Hai
Jo
Karne Walay Ki Naazar Mein
Chota ho.
.
.
6.Insaan Bhi Kitna Ajeeb Hai,
Jab Kisi Cheez Se Darta Hai
Tou
Us Say Dour Bhagta Hai.Aur
Jab ALLAH Say Darta Hai Tou
Us
Ke Aur Qareeb Ho Jata Hai.
.
.
7. 3 Insan 3 Cheezon Say
Mehroom Rahenge.
1.Ghusaay Waala Durust
Faislay
Say.
2.Jhoota Izzat Say
3.Jald Baaz Kamyaabi Say.

No comments: