Monday, November 25, 2013

Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ki kuch aadate/habits

===================
1. Chalte time nazar Niche Rakhte.
matlab taak-jhaak karte hue na chalte aur na kisi parai aurat ko dekhte.
2. Salam Hamesha Pehle Karte.
matlab ye na dekhte ke saame chhota baccha hai ya koi bada hai, na ye dekhte ke ameer hai ya gareeb, balke salam pahle khud karte.
3. Mehman Nawazi Khud Karte.
4. Nafil Namaz Chup Ke Padhte.
Matlab ibadat mein dikhawa nahi karte the.
5.FARZ Ibadat Sab ke Samne Karte.
Farz ibadat sabke saamne karte, taake dusro ko sabak mile.
6. Bimar ki tabiyat dekhne jaate.
8. Miswak (daatun) Karte.
9. Ishaa ki namaz Se Pehle Kabhi Na Sote.
10. Kabhi Khulkar Na Haste, Sirf Muskurate.
Allah humko bhi in saari baato par amal karne ki taufik ata kare. Aameen.

No comments: