Friday, November 15, 2013

Muharram mein Yom-e-Ashura ke roze ki ahmiyat
-------------------------------------------------------------------
Yom-e-ashura matlab 10wa din, Hum muharram ke 10 taarikh ko yaum-e-ashura kahte hain, is din ke roze ki ahmiyat bahut zyada hai, hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne Imam Hussain (radi allahu anhu) ki shahadat se bhi pahle is roze ko rakhne ka hukm farmaya tha aur khud hazratHussain radi allahu anhu ne bhi ye roze rakhe the. Isliye is dine ke roze ka relation hazrat Hussain (radi allahu anhu) ki shahadat se nahi hai. Balke iski ahmiat to pahle se hi hai, ye alag baat hai ke aapki shahadat bhi usi din Allah ne kubul ki.

(1) Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne ashura ke din ke roza ki ahmiyat mein farmaya (jiska matlab ye hai ke) mujhe Allah se ye ummid hai ke is din ke roze ki barkat se Allah 1 saal ke gunaho ko maaf kar deta hai.

Yaha par yeh baat dhyan rakhne ki hai ke jaha kahi bhi kisi roza rakhne ya accha kaam karne se gunaho ki maafi ki baat aati hai waha matlab sagira (chhote) gunaho se hota hai kyonke kabira (bade) gunah bager tauba (maafi) ke Allah maaf nahi karta. Aur kabira gunaho mein bhi aese gunah jismein kisi dusre insan ka haq ada nahi kiya gaya ho ya uska dil dukhaya gaya ho to jab tak aesa insan humko maaf nahi kar deta tab tak tauba karne se bhi Allah gunaho ko maaf nahi karta. Jab wo insan maaf karega, uske baad Allah maaf karega.

(2) Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya (jiska matlab yeh hai ke) ramzan ke roze ke baad sabse ahmiyat wala roza 'Yaum-e-Ashura' ke din ka roza hai.

(3) Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya (jiska matlab yeh hai ke) jab tum log Ashura (Moharram ki 10 taarikh) ka roza rakho to ya to 9-10 taarikh ka rakha karo ya 10-11 ka rakha karo. Kyonke yahudi bhi pehle se hi 10 muharram ka roza rakhte hain aur mein chahta hoon ke islam ke maanne walo ki apni alag pehchan ho, kisi dusure se uski baat milti hui na ho. Isliye agar yahudi 1 din ka roza (10 taarikh ka) roza rakhte hain to tum log 2 roza rakha karo.

to is din ka Roza rakhege na bhai/bahano ?

No comments: