Tuesday, March 11, 2014

●Qabron Par Salaam karne Ke Muttaliq Kuch Ahadees

Hazrate Abdullah Bin Umar Farmate Hain Ke Rasoole Akram Sallallahu Tabarak Taala Alyhe Wasallam Ne Uhad Se wapsi Par Hazrate Musa'b Bin umair k Paas Ruke Aur Farmaya Mai Gawaahi Deta Hu k Allah Tabarak Taala K Nazdik Tum Zinda Ho Aur Apne ashaab Se farmaya Tum Inki Ziyarat kiya Karo aur salaam Pesh Kiya Karo
Al Maujamul Ausaat 4/462

Hazrate Abdullah Bin saad farmate Hai k mujhe Hazrate Abu Huraiarah Ne Taalim di Ke Jab bhi qabro Ke Qareeb se guzro to Jinko Jante Ho Unko Yun salaam karo Assallamualykum Ya Ahlal Quboor Aur Jinko Nahi Jante Unko Yun salaam Ada karo
Assalaamu alaikum Alal Muslimeen
Al Mussanaf 3/339

TAJDARE AMBIYA SALLALLAHU TABARAK TAALA ALYHE WASALLAM NE Irshad Farmaya k Jo Shaks kabhi Apne kisi Musalman Bhai Ke qabr ke Paas Se Guzre Jis ko Woh duniya Me Janta Tha To Woh Qabrwala Use Pehchan Leta Hai
Al Esstazkar 2 /165

Hazrate Abu Huraiarah Bayan Farmate hain Ke Jo banda Bhi Kisi Aaise Shakhs ke qabr ke Paas Se Guzre Jis Ko woh Duniya Me Pehchanta Tha Pas Usko salaam Kare To Woh Usko Pehchanta Hai Aur salaam ka JawaaB DETA hai
Tarikhe Baghdad 6/15
Kanzul Ummal 42556

SubhanAllah SubhanAllah

No comments: