Sunday, November 3, 2013

Kaaba mein laga HAJR E ASWAD (kaala patthar) kya hai



Kaa’aba Sharif Ke Dakhhini Poorvi Konay Ki Deewar Me Chaandi Ke
Kathde Me Ek Mubarak Pathhar Jada Hua Hai Jise Badi Aqeedat Se
Chuma Jata Hai Or Usi Ke Saamne Tawaaf Ki Shuruaat Hoti Hai .Is
Mubarak Pathhar Ko HAJR E ASWAD Kaha Jata Hai . Ye Jannati Pathhar Hai Jo Hazrat Aadam Alayhissalam Ke Saath Jannat se Zameen Par Aaya.Ye Bhi Allah Ki Beshumar Nishaniyo Me Se Ek Hai .
Hazrat Abbas RadiAllaho Anho Farmate Hai – Ye Pathhar Jab Aasman Se Aaya Tha Tab Safaid Tha. Insaano Ke Gunaaho Ne Isko KaaLa Bana Dala . Kaha Jata Hai Ki HAJR E ASWAD Apne Chumne Wale Ke Gunaah
Khinch Leta Hai Isliye Ye KaaLa Ho Gaya.
Insano mein sabse pehle kaaba ki taamir Adam alyhissalam ne ki thi, uske baad tufaane nuh mein kaaba shahid ho gaya tha. Phir usi jagah par isko Hazrat Ibrahim alyhissalam ne banaya. Phir kai baar iski toshi hoti rahi.
Kuch Aalimo Ka Kehna Hai Ki HAJR E ASWAD Jannat Se Nahi
Laya GAya Tha Balki Hazrat Jibraail Alayhissalam Ise Jabl e Abu Qubais Se Laaye The . Toofan E Nooh Ke Waqt Allah Ke Huqm Se Ye Pathhar Jabl e Abu Qubais Par Mehfooz Kar Diya Tha.Phir Jab Hazrat Ibrahim Alayhissalam Ne Toofan Khatam Hone Ke Baad Kaa’aba Sharif Dobara Banana Shuru Farmaya Or Deeware Unchi Ho Gayi Tou Aapne Apne Bete Hazarat Ismail alyhissalam. Se Faramaya – Ek Pathhar Laao Taaki Tawaaf Shuru Karne Ka Ek Nishaan Bana Diya Jaaye .Usi Waqt Hazrat Jibaarail Alayhissalam Ne Ye Mubarak Pathhar Laakar Aapki Khidmat Me Paish Kiya . Aapne Use Deewar Me Feet Kar Diya .Ye Wo HAJR E ASWAD Hai Jo Tarah-Tarah Ke Halaaton Ka Saamna Karte HUve Aaj Bhi Apni Jagah Par Qaayam Hai .
Elan e Nubuvat Se Pehle Ek Baar Kaa’ba Sharif Ki Taamir Ho Rahi Thi .
Makkah Ke Bade Bade Kabile Wale IsKi Taa’amir Me Shamil The. Deewar Unchi Ho Gayi Tou HAJR E ASWAD Feet Karne Ka Number Aaya. Har Kabile Ka Sardar Yahi Chahta Tha Ke Ye Ejaj Hame Mile . Baat Badh Gayi, Jung Ki Noubat Aa Gayi . Kaafi Behas Ke Baad Yeh Tay Paaya KI Kal subah Sabse Pehle Jo Haram Sharif Me Aayega Wohi HAJR E ASWAD Deewar Me Lagayega. Allah ki marzi se Sabse Pehle Aamina Ke Laal Hazrat Muhammad Mustafa Sallalaho Ta’ala Alayhi Wasallam Haram Sharif Me subah sabse pehle Pahunche. Aapne yaha hikmat se kaam lete hue Sab Ko Jama Farmaya . HAJR E ASWAD Ko Ek Chadar Me Rakhwa Kar Farmaya – Sabhi Kabile Ke Saradar ek-ek kona pakad le aur isko Upar Uthaye .Chunanhe Jab Pathhar Upar Pahuncha Tou Aapne Chadar Me se Isko Uthakar apne mubarak haatho ise Deewar Me Laga Diya .
Hazarat Abdullah Bin Umar (radiallahu anhu) Farmate hai – Allah Ke Rasool (sallalahu alyhiwasallam) Ne faramaya – HAJR E ASWAD Or
Makaam e Ibaahim Yeh Dono Pathhar Jannat Ke Yakoor (keemti Pathhar) Hai. Allah Ne Agar Inka Noor Bujhaya Na Hota Tou Poorab Pashchim Sab Jagmaga Uth te .
Taarikh Se Ye BHi Pata Chalata Hai Ki Hazrat Ibrahim Alaihissalam Ne HAJR E ASWAD Deewar Me Lagaya Tou Aas Paas Ka Elaaka Noor Se Jagamaga Utha.Jaha Tak Uski Roshni Pahunchi , Allah Ne Us Elaake Ko
Haram (Masjide haram) Qarar De diya .
HAJR E ASWAD ki Khasiyat Ye Hai Ke Aag Paani Ka Is Par Koi Asar Nahi
Hota . Ye Paani Me Doobta Nahi Balki Lakadi Ki Tarah Tairta Rehta
Hai .
Ye Bada Mubarak Pathhar Hai Ise Chuoomna Sunnat Hai .Hajj Or
Umra Ke Douramn Mouka Mil Jaaye Tou Ise Choomne Ki Koshish
Jarur Karni Chahiye. lekin Aurat tab hi jaaye jab bheed na ho, jab bheed ho to door se hi ishare se bosa de le. Hazarat Umar radiallahu anhu Jab Ise Bousa Dete Tou Farmate – HAJR E ASWAD ! Tu Ek
Pathhar Hai . Koi Nafa Nuksaan Pahunchane Ki Salahiyat Nahi Rakhta . Main Tujhe Isliye Bousa De Raha HU Kyunke Maine Apne Pyaare NAbi Ko Bousa Dete HUve Dekha.
Time ke saath-saath yeh patthar toot kar kuch tukdo mein bat gaya hai, lekin isko wapas diwar par chipka diya gaya hai. Iski safety ke liye chaandi ka cover chaday gaya hai. Iske saamne khade hokar Allah se jo jaiz dua mangoge, Allah zaroor puri karega. InshaAllah

3 comments:

Asif Shaikh said...

Allah Ham sabhi ko Hajr E Aswad ko Chumna Nasib Farmae... Ameen

Unknown said...

Ya Allah tala hum sab ko hajr.e aswad ko chune ya chumne ki taufeeq ata farmaye ameen suma ameen aaye Allah Mujhe bhi chumne ki taufeeq ata farmaye ameen

Anonymous said...

My spouse and I absolutely love your blog and find many of your post's to be exactly what
I'm looking for. Do you offer guest writers to write
content for you personally? I wouldn't mind publishing a post or elaborating
on some of the subjects you write with regards to here.
Again, awesome site!