Sunday, November 17, 2013

•»SAKHI GHARANA«• **************** HIQAYAT ******



Ek Martaba Hazrat Imaam Hasan, Hazrat Imaam Hussain Aur Abdullah Bin Jafar Radi-Allahu-Ta'aala-Anhum Hajj Ko Ja Rahe The Ki Jis Unth Per Safar Ka Samaan Ladha Hua Tha Wo Unth Kahin Piche Reh Gaya! Aap Sab Bhooke Pyaase The Aap Log Ek Budiya Ki Zhopdi May Tashrif Legaye Aur Farmaya, Kuch Pine Ko Hain? Usne Arz Ki Haan! Hain! Us Budiya Ke Paas Ek Bakri Thi! Usne Uska Doodh Doahker Haazir Kiya! Unohne Piya Fir Pucha Kuch Khane Ko Bhi Hain? Usne Jawab Diya Ki Taiyyar Nahi Hain Isi Bakri Ko Zibah Karke Kha Lijiye!

Chunanche, Wo Bakri Zibah Ki Gayi Aur Use Khaker Farmaya Badi Bi Hum Quraish Mayse Hain! Jab Is Safar Se Lautege To Hamare Paas Aana! Hum Tere Ehsaan Ka Badla Dege! Yeh Farmaker Rawana Hogaye!

Jab Us Budiya Ka Khawindh (Shoher) Ghar Pahucha To Khafa Hoker Kehne Laga Tune Bakri Un Logon Ko Khila Di Jinko Tu Jaanti Bhi Nahi Ki Wo Kaun Hain? Thode Din Gujre The Ki Wo Miyan-Biwi Muflisi Ki Wajahse Madina Munavwara May Aa Pade Aur Unth Ki Lendiyaan Chun-Chunker Bechne Lage!

Ek Din Wo Budiya Kahin Ja Rahi Thi Ki Hazrat Hasan Radi-Allahu-Ta'aala-Anhu Ne Use Dekhker Pehchan Liya Aur Use Bulaker Farmaya, Badi Bi Mujhe Pehchana? Usne Arz Kiya Nahi! Farmaya Main Wo Shaks Hoon Jo Fala Din Tumahra Mehmaan Hua Tha! Budiya Ne Ba-Gaur Dekha Aur Boli Haan Haan Pehchan Gayi, Wakayi Aap Meri Zhopdi May Tashrif Laye The!
Hazrat Imaam Hasan Radi-Allahu-Ta'aala-Anhu Ne Hukm Farmaya Ki Ek Hazaar Bakriyan Kharidker Is Budiya Ko Di Jaye Aur Sath Hi Ek Hazaar Dinaar Nakadh Bhi Diya Jaye!

Chunanche, Taamil-A-Irshad Ki Gayi Aur Budiya Ko Ek Hazaar Bakriyan Aur Ek Hazaar Dinaar De Diya Gaya Aur Fir Hazrat Imaam Hasan Radi-Allahu-Ta'aala-Anhu Ne Apne Gulam Ko Sath Karke Us Budiya Ko Hazrat Imaam Hussain Radi-Allahu-Ta'aala-Anhu Ke Paas Bhej Diya! Hazrat Imaam Hussain Radi-Allahu-Anhu Ne Usse Pucha Ki Bhai Sahab Ne Tumeh Kya Diya? Budiya Ne Jawab Diya Ki Ek Hazaar Bakriyan Aur Ek Hazaar Dinaar! Hazrat Imaam Hussain Radi-Allahu-Anhu Ne Bhi Ek Hazaar Bakriyan Aur Ek Hazaar Dinaar Us Budiya Ko Inayat Farmaye! Fir Aapne Gulam Ke Sath Us Budiya Ko Hazrat Abdullah Bin Jafar Radi-Allahu-Anhu Ke Paas Bhej Diya! Unohne Pucha Ki Dono Bhaiyon Ne Tumeh Kya Diya? Wo Boli 2 Hazaar Bakriyan Aur 2 Hazaar Dinaar! Hazrat Abdullah Ibne Jafar Radi-Allahu-Anhu Ne Bhi Usko 2 Hazaar Bakriyan Aur 2 Hazaar Dinaar Ata Farma Diye!

Wo Budiya 4 Hazaar Bakriyan Aur 4 Hazaar Dinaar Leker Apne Khawindh Ke Paas Aa Gayi Aur Kehne Lagi, Yeh Inaam Un Sakhiyon Ne Inayat Farmaya Hain Jisko Main Bakri Khilayi Thi!


No comments: